Urdu

Aqse roo e Mustafa

Aqse roo e Mustafa (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) se aisi zebayi mili Khil utha Rang e Chaman phoolon ko raanaayi mili Arze Taiba me muyassar aa gayi do gaz zameen Yuh hamare muntashir ajza ko yaqtayi mili Behre Ishq e Mustafa ka majra ho kya bayaan Lutf aaya dubne ka jitni gehrayi mili Chadar e Zahra ka saaya hai mere sar par Naseer Faiz e Nisbat dekhiye nisbat bhi Zahraayi mili

Dard e Dil kar mujhe ata Ya Rab

Dard e Dil kar mujhe ata Ya Rab De mere dard ki dawa Ya Rab Be sabab baksh de na pooch amal Naam Ghaffar hai tera Ya Rab Yuh gumoo ke mai tujh se mil jau Yuh gumaa is tarha mila Ya Rab Aib mere na khol mehshar me Naam Sattar hai tera Ya Rab Har bhale ki bhalai ka sadqa Mujh nikamme ko kar bhala Ya Rab Laaj rakhle gunahgaron ki Naam Rehman hai tera Ya Rab Khaak kar apne Aastane ki Yuh hame khaak me mila Ya Rab Meri ankhe mere liye tarse Mujh se aisa mujhe chupa Ya Rab Tees kam ho na Dard e Ulfat ki Dil tadapta rahe mera Ya Rab Teri jaanib yeh Musht e Khak ude Bhej aisi koi hawa Ya Rab “Sabaqat Rahmati Alaa Ghazabi” Tune jab se sunadiya Ya Rab Tu Aasra hum gunahgaro ka Aur mazboot ho gaya Ya Rab Ahle Sunnat ki har jamat par Har jaga ho teri ata Ya Rab Dushmanon ke liye hidayat ki...

Qallat Hee Lati Anta Waseelati

Qallat Hee Lati Anta Waseelati Adrikni Ya RasoolAllah (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) Adrikni Ya RasoolAllah Adrikni Ya RasoolAllah Adrikni Ya RasoolAllah Adrikni Ya RasoolAllah Ghatayein Gham Ki Chaayein Dil Pareshan Ya RasoolAllah Tumhi Ab Kuch Karo Maah-E-Risalat Ya RasoolAllah Ghatayein Gham Ki Chaayein Dil Pareshan Ya RasoolAllah Tumhi Ho Mere Dard-O-Dukh Ka Darmaan Ya RasoolAllah Safeenay Ke Parakhchay Urr Chukkay Hain Zor-E-Tufaan Se Sambhalo Mein Bhi Dooba Aey Meri Jaan Ya RasoolAllah Qallat-Hee-Lati Anta Waseelati Adrikni Ya RasoolAllah Adrikni Ya RasoolAllah Adrikni Ya RasoolAllah Adrikni Ya RasoolAllah Adrikni Ya RasoolAllah Gunahoon Ki Nahi Jaatei Hai Aadat Ya RasoolAllah Tumhi Ab Kuch Karo Maah-E-Risalat Ya RasoolAllah Mein Bachna Chahta Hoon Haaye Phir Bhi Bach Nahi Paa...

Ay HabeeB E Ahmed E Mujtaba Dil E Mubtala Ka Salam Lo

Ay HabeeB E Ahmed E Mujtaba Dil E Mubtala Ka Salam Lo Jo Wafa Ki Raah Me Kho Gaya Usi Gum Shuda Ka Salam Lo Mai Talab Se Baaz Na Aaunga Tu Karam Ka Haath Badhaye Ja Jo Tere Karam Se Hai Aashna Usi Aashna Ka Salam Lo Meri Haazri Ho Madine Me Mile Lutf Mujh Ko Bhi Jine Me Tera Noor Ho Mere Seene Me Meri Iss Duaa Ka Salam Lo Koi Mar Raha Hai Bahisht Par Koi Chahata Hai Najaat ko Mai Tujhi Ko Chahu Khuda Kare Meri Is Duaa ka Salam Lo Wo Hussain Jisne Chidak Ke Khun Chaman E Wafa Ko Hara Diya Usi Jaa(n) Nisaar Ka Wasta Ke Har Ik Gada Ka Salam Lo Tamam Auliya Ke Buland Sar Hai Qadam Pe Jinke Jhuke Huve Usi Pyare Ghous Ka Wasta Ke Har Ik Gada Ka Salam Lo Yehi Roz O Shab Hai Duaa Meri Ke Maru To Tere Dayaar Me Yahi Mud-dua E Hayat Hai Isi Mud-dua Ka Salam Lo

Kuch Aisa Kar De Mere Kirdagaar Aankhon Me,

Kuch Aisa Kar De Mere Kirdagaar Aankhon Me, Hamehsa Naksh Rahe Rue Yaar Aankhon Me. Basa Huva Hai Koi Gul Azaar Aankhon Me, Khila Hai Chaaron Taraf Lalazaar Aankhon Me. Woh Noor De Mere Parwardigaar Aankhon Me, Ke Jalwagar Rahe Rukh Ki Bahaar Aankhon Me. Basar Ke Saath Basirat Bhi Khub Roshan Hai, Lagaoun Khake Qadam Baar Baar Aankhon Me. Unhen Na Dekha To Kis Kaam Ki Hai Yeh Aankhen. Ke Dekhne Ki Hai Saar Bahaar Aankhon Me. Nazra Me Kaise Samayenge Fool Jannat Ke, Ke Bas Chuke Hai Madine Ke Khaar Aankhon Me. Woh Sabz Sabz Nazar Aa Raha Hai Gumbad Sabz, Qarar Aa Gaya Youn Be-Qaraar Aankhon Me. Yeh Dil Tadap Ke Kahin Aankhon Me Na Aa Jaye, Ke Fir Raha Hai Kisi Ka Mazaar Aankhon Me. Farishton Puchte Ho Mujh Se Kis Ki Ummat Ho, Lo Dekhlo Yeh Hai Tashweer E Yaar Aankhon Me. Piya Hai Jaam E Muh...

Khaak-e-Madinah hoti, main khaak saar hoti.

Khaak-e-Madinah hoti, main khaak saar hoti. Aaqa (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) aggar karam se Taiba mujhe bulaate, Roze par sadqe hoti, Unn par nisaar hoti. Mar mitt ke khoob lagti mitti meri thikaane. Gar Unn ki rahguzzar par, mera mizaar hota. Bechayn dil ko ab tak samjha bujha ke rakha. Baad iske ab to Aaqa nahin intezaar hota. Woh bekasson ke Aaqa, bekass ko ghar bulaate. Kyun sab ki thokarron par, parrh kar khwaar hoti. Aaqa ab to bulwa lo, mujh si mujrim ko bhi paas Apne. Main khud ko waar deti, bas khaak saar hoti. Taiba main gar muyassar, do gazz zameen hoti. Unn ke qareeb basti, dil ko karaar hota. Aaqa ke qadmon mein gar, do gazz zameen hoti. Unn ke qareeb basti, dil ko sukoon hota. Khaak-e-Madinah hoti, main khaak saar hoti.

Aey Khudaya

Khud ko lab mushkil mein jab´bhi paya Mila hai Teri rahmaton ka saya Tu ne hi badli hai meri kaya Aey khudaya Aey Khudaya, Aey Khudaya, Aey Khudaya, Aey Khudaya Aey khudaya Aey Khudaya, Aey Khudaya, Aey Khudaya, Aey Khudaya Mere lab pe hamd o sana ho tera shukr phir na ada ho mera sar yeh ya Khudaya Tere aage har dam jhuga ho youn teri ata mein guzre meri umar yeh baqaya Aey khudaya Aey Khudaya, Aey Khudaya, Aey Khudaya, Aey Khudaya Aey khudaya Aey Khudaya, Aey Khudaya, Aey Khudaya, Aey Khudaya Har su hai Tere ujale Sab irX tu ne sambhale Teri aik nazr e karam ne Diye mujh jo kitne hawale Tera ishq paya na jis ne Kujh bhi na us ne paya Aey khudaya Aey Khudaya, Aey Khudaya, Aey Khudaya, Aey Khudaya Aey khudaya Aey Khudaya, Aey Khudaya, Aey Khudaya, Aey Khudaya De mujh ko tawfiq Tu mawla ban...

Mawla, Mawla, Mawla

Tum se kya mangoun main Tum khud hi samajh lo, Mawla Mawla, mawla, mawla, mere mawla Mawla, mawla, mawla, mere mawla darare darare mathe pe mawla maramat muqadar ki kar do mere mawla Tere dar jhuka houn, mita houn bala houn maramat muqadar ki kar do mawla maramat muqadar ki kar do mawla jo bhi tere dar aya jhukne apne sar ko woh surur mein sab ko jhumta nazar aya pyaas le ke aya tha, darya ho bhar laya Noor ki barish mein bheegta aya Mawla, mawla, mawla, mere mawla Mawla, mawla, mawla, mere mawla darare darare mathe pe Mawla maramat muqadar ki kar do mere mawla Sar utha ke maine to kitni khawahish ki thin kitne khaab dekhe the, kitni koshishein ki thin Jab Tu rubaru aya, nazrein na mila paya sajdah aik pal mein maine kya nahi paya Mawla, mawla, mawla, mere mawla Mawla, mawla, mawla, mere m...

Mera To Sab Kuch

Mera to sab kuch Mera roop wi nai, mera rang wi nai, menu Madani manaun da dhang wi nai. Mera ishq wi Rumi warga nai, meri Jaami wargi torr wi nai. Par main yaqeen nal eho kehna haan, Menu Sohne jeya koi hor wi nai. Kyoun ke mera to sab kuch mera Nabi hai. Mera to sab kuch mera Nabi (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) hai. Ussi ke qadmon mein rah meri, ussi ki pyaasi hai chah meri Ussi ki mujrim meri khatayein ussi ki rehmat gawah meri Ussi ka gham mujhko saath rakhe wohi mere dil pe haath rakhe Woh dard bhi hai, sukoon bhi hai Mera to sab kuch mera Nabi hai Woh meri manzil bhi, humsafar bhi Woh saamne bhi, pass-e-nazar bhi Wohi mujhe door se pukare ussi ki parchayi ruh par bhi. Woh rang mera, woh meri khushboo Main Usski Muthi ka eik jugnu Woh mere andar ki roshni hai Na mujhse baar-e-a...

Ya Nabi Salam Alayka (Maher Zain)

Gönüllärde hasretin var Yüreklär ashkenla tcharpar Sensiz Dünya bizlere dar Seelam sana Ey kotlu yar (Our souls long for you Our hearts beat with your love This world without you is unbearable for us Peace and blessings upon you O Prophet) With submission, faith and patience You conveyed the noble “message” Brought us light through your guidance Peace be upon you my beloved Ya habibi ya Muhammad (Muhammad O my beloved) Chorus: Ya Nabi salam ‘alayka Ya Rasool salam ‘alayka Ya Habib salam ‘alayka Salawatu Allah ‘alayka (O Prophet peace and blessings be upon you O Messenger peace and blessings be upon you O Beloved peace and blessings be upon you May the peace and blessings of Allah be upon you) Teri mohabbat kee mehek se Yeah zameeno asma abadh hain Rehmat...

Mujhe yaad ate hain Nabi Nabi

jo Nabi par nisaar hota hai woh barra purmkaar hota hai jo musalsal darood parhta hai usko bhi rab se pyaar hota hai miraaj ki shab hai noorani mehboob se hai milne ki gharri mujhe yaad aate hain Nabi Nabi (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) jibril se maula ne yeh kaha tum jao Madine abhi abhi mujhe yaad aate hain Nabi Nabi buraq bahisht se le jao mehboob ko mere le ao mujhe yaad aate hain Nabi Nabi Jibril se rab ne farmaya khushboo se hawaein tar kar do hai arsh pe dekho dhoom machi mujhe yaad aate hain Nabi Nabi jab soorah e taha ki koi quran mein tilawat karta hai azaad mera dil ro ro kar tanhai mein aahein bharta hai mujhe yaad aate hain Nabi Nabi sahil ne safi ko pohncha di aur arsh ke zeene pohncha di bas itni tamanna hai tujh se Allah Madine pohncha de mujhe yaad aate hain Nabi Na...

Rukh e Mustafa ko dekha

Rukh e Mustafa (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) ko dekha to diyon ne jalna seekha Yeh karam hai Mustafa ka shab e gham ne dhalna seekha Yeh zameen ruki hui thi yeh falak thama hua tha Chale jab mere Muhammad (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) to jahan ne chalna seekha kis ne zarron ko uthaya aur sahra kar diya kis ne qatron ko milaya ayr darya kar diya kis ki hiqmat ne yateemon ko kiya durre yateem aur ghulamon ko zamane bhar ka maula kar diya admiat ka gahraz saama muhayya kar diya ik arab ne aadmi ka bol bala kar diya Chale jab mere Muhammad to jahan ne chalna seekha Bara khush naseeb hoon main, meri khush naseebi dekho Barri kam seeni se main ne hai yeh naat parhna seekha apni bakhshish apni bhalai ka samaan nikala hai main to nabi ke gun gata hoon jab se hosh sambhala hai bachp...