X

Gham e hijre mustafa Mein, meri jaan sulag rahi hai

Gham e hijre mustafa Mein, meri jaan sulag rahi hai
kabhi unki ho ziyarat, yahi lo lagi hui hai

teri yaad mera imaan, tera zikr zindagi hai
mujhe dard se nawaza, teri banda parwari hai

mein chala hu apne ghar se, yehi souch kar madine
mera kaam justujoo hai, tera kaam rahbari hai

na hua hai koi tujhsa, na jahan mein koi hoga
tu habibe qibria hai, tujhe zeb sarwari hai

mujhe ay fida yakeen hain, kabhi deed unki hogi
mera dil tarab raha hai, meri aankh mein nami hai

Ali:
Related Post