X

Tere karam ke agey

Tere karam ke agey
Meri zaat kuch nahi hai
Tu hai karam ka data
Tere darr pey chandni hai

Tera darr hai mera kaba
Tera kucha Meri jannat
Tere chehre ki tilawat Aqa
Mera hajje akbari hai

Tere naam se ey murshid
mujhe janti hai dunya
Tere naam ki badolat Murshid
Mera kaam chal raha hai

Meri laaj rakhne wale
Meri laaj ko nibhana
Teri ik nazar ke sadqey Murshid
Meri baat ban gayi hai

Kahan teri shaan aali
Kahan mujhsa yeh sawali
Mujhe Dard dene wale, Aqa
Teri banda parwari hai

Tere naam ne ata ki
Hai bheek Mustafa ki
Isi bheek per O saifi
Tera naam chal raha hai

Ishqe Nabi mein barsen
Pal pal unhi ko tarsen
Rehna faqat unhi ka
bimaar chahti hai

Kya shan beyniazi
haq ne Tujhe ata ki
Tere darr ka jo bhikari
Dunya ka Voh wali hai
——-

Tu chahe jise dey de
Mehboob teri marzi
(Ya Rasulallah, ya Habiballah)
Mukhtar banaya hai
Tujhe apne khazanon ka

Jis jis ko Pilai hai
Mere Aqa ke ankhon se
Voh bhul gaya rasta harr ik maikhane ka

Kuch aisi pila dalo, Murshid
Beykhud bana dalo
Jo dekhe kahe mujhko
Yeh hai mera diwana

Bhar bhar ke pilaya hai
mastanon ko ey Murshid
Us jaam ke kuch qatrey
Mujh ko bhi pila jana hai

– Tu chum ley kalion ko
Kafuri honton se
Andaz sikhaya hai
Khud Rab ne jagane ka

Ik parda uthao na, ya Rasulallah (salla Llahu ‘alayhi wa sallam)
Ik jalwa dikhao na
Is shauqe mohabbat ne
Harr raat jagaya hai

Maryam:
Related Post