Jis pe qurban hue shams o qamar ke jalwe
wohi jalwe mere Sarkar (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) ke dar ke jalwe
jis ne damaan mein bhare unke karam ke moti
uss se poche to koi unki nazar ke jalwe
unke gesu ne hi rehmat ki ghatta chaayi hai
unke abru mein hi do qiblon ki yakjaayi hai
bhar de bhar de, mere Aaqa, meri jholi bhar de
Allah ne aap ko mukhtaar bana rakha hai
ik jhalak dekhne ki taab nahi alaam ko,
woh aggar jalwa karein kon tamashayi ho
Kahin behosh na ho jaaye zamaana sara,
iss liye husn ko pardon mein chupa rakha hai
yehi manzoor tha kismat ko, ke saya na bane
aise yakta ke liye aisi hi yaktai ho
mere ghar aayein aggar tere qadam aye jaan-e-jahaan
tujhpe qurbaan mera saara gharaana hota
gumbad-e-khazra khuda tujhko salaamat rakhe,
dekh lete hain tujhe pyaas bhuja lete hain
yeh na socho ke woh ayenge to tehrenge kahaan,
woh to khushboo ki tarah dil mein uttar jaate hain