Baat jo kijiye aur jab kijiye
Saath me zikr-e-mehboob-e-rab kijiye
Chahatein ho mile, zoq, aansoon bahein
Laghw baatoon se bund apne lab kijiye
Lo wo minaar o gumbad nazar aa gayein
Ab salaam arz sab ba-adab kijiye
Qalb-e-tareek par rakh ke apna kadam
Chand naa mere mah-e-arab kijiye
Dar pe aa kar bikari phire namuraad
Ye gawara bala aap kab kijiye
Wo nawaze ge khali na loataaye ge
Unse haajat hal apni sab kijiye
Mar raha hoon gunaahoon ke amraaz se
Ik nazar jaan pe jaan balab kijiye
Zindagi me hazaaroon safar kar liye
Dil ne chaha, na chaha magar kar liye
Ab dar-e-mustafa ka safar kijiye
Sunke faryaad imdaad ko aagaye
Yaad Ubaid-e-Raza unko jab kijiye