Mera to sab kuch
Mera roop wi nai, mera rang wi nai,
menu Madani manaun da dhang wi nai.
Mera ishq wi Rumi warga nai,
meri Jaami wargi torr wi nai.
Par main yaqeen nal eho kehna haan,
Menu Sohne jeya koi hor wi nai.
Kyoun ke mera to sab kuch mera Nabi hai.
Mera to sab kuch mera Nabi (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) hai.
Ussi ke qadmon mein rah meri,
ussi ki pyaasi hai chah meri
Ussi ki mujrim meri khatayein
ussi ki rehmat gawah meri
Ussi ka gham mujhko saath rakhe
wohi mere dil pe haath rakhe
Woh dard bhi hai, sukoon bhi hai
Mera to sab kuch mera Nabi hai
Woh meri manzil bhi, humsafar bhi
Woh saamne bhi, pass-e-nazar bhi
Wohi mujhe door se pukare
ussi ki parchayi ruh par bhi.
Woh rang mera, woh meri khushboo
Main Usski Muthi ka eik jugnu
Woh mere andar ki roshni hai
Na mujhse baar-e-ammal uthe ga
Na azl hi saath koi dega
Aggar kahega to roz-e-mehshar
Khuda se mera Nabi kahega
Siyahiyaan, daagh saaf karde
Inhein bhi Maula mu’af karde
Yeh mera aashiq hai, yeh hai saifi
Mera to sab kuch mera Nabi hai.
kamal-e-khallaq zaat uski
jamal-e-hasti hayaat uski
bashar nahi azmat-e-bashar hain
woh rahmatalil ‘alamin
aur tu sarapa bughz-o-keen
phir kis tarah aye yaqeen
tu bhi bashar woh bhi bashar
tu sharr hai woh khayr-ul-bashar
yaksan kahan hain khayr-o-sharr
hai farq in mein kis qadar
tu bhi bashar woh bhi bashar
tu reengta hai khaak par
aur arsh par unka guzar
ab dil mein khud insaaf kar
tu bhi bashar woh bhi bashar
jab hashr ka din aye ga
us roz tu pachtaye ga
jab tujh se poocha jaye ga
tu bhi bashar woh bhi bashar
hatt tharmiyon ko chod kar
tauk-e-takabbur torr kar
keh dono haaton ko jodd kar
woh noor-e-haq aur main bashar
bashar nahi azmat-e-bashar hain
mera payamber azeem tar hai