X

Aey Qaza Teher Ja Unse Karloun Zara

Aey Qaza teher ja, unse karloun zara, ik haseen guftagoo akhari aakhri
our koi tamanna nahi ba-khuda, hai yahi aarzoo, akhri akhri

aansoon ki jo rut hai, badal jay gi, jaan aaraam se phir, nikal jay gi
pooch le ghar zara, haal haazaq mera, bayth kar ruuh baruuh, aakhri aakhri

mere ghar mein wo jis waqt aajay gein, unke daaman se pal pal libat jay gein
saamne unke naino ko kar waayein ge, aasooun se wudu, aakhri aakhri

meri halat bazahir to kamzor hai, unke gham se badi saans ki dor hai
bohanch jao faqat unke qadmoun talaq, hai yahi justajoo, akhri akhri

isse pehle ke uth kar challe jaae wo, kissa’e’gham mukammal na sun pay wo
hosh kar be-khabar, waqt hai mukhtasar, bol de lafz tu, akhri akhri

unki basti mein le chal mujhe chaara ghar, dekhni hai wo galiyaan faqat ik nazar
chaahati hai nigah, unki ho baargah, dekhloun chaarsuu, akhri akhri

raat dhalte hi, yeh lafz ruk jay gi, tooth kar shaakh saansoun, ki jukh jay gi
aise lagta hai ab, to yeh hakim mujhe, hogi subho namoun, akhri akhri

 

Saad:
Related Post