Madine ki Azmath Madine ke jalwe
Madine ke charche Madine ka manzar
ALLAHUAKBAR ALLAHUAKBAR
Madine ki baatein Madine ki raatein
Yahaan to rahte hain mere payambar (salla Llahu ‘alayhi wa sallam)
Jo hai saare aalam ke Sarwar
Isliye hai Taiba kitna munnawar
ALLAHUAKBAR ALLAHUAKBAR
Kitna hai pyara pyara Madina
Ise Rab ne kitna sawara
Madine ki azmath ke mai sadqe jawaan
Isme rahte hai mere payambar
ALLAHUAKBAR ALLAHUAKBAR
Madine ka wo pyara manzar
Waha ke phool aur wahaan ke kankar
Wahaan ka farsh aur minar-e-anwar
Aur waha ka Mihrab-o-Mimbar
ALLAHUAKBAR ALLAHUAKBAR
Na koi zar hai
Na koi par hai
chala bhi jaata nahi hai mujh se
Phir aa’un kaise tumhare Dar par
ALLAHUAKBAR ALLAHUAKBAR
Gumbade Khizra ke pyare nazare
Wahaan ki galiyaan wahaan ke raste
Wahaan ki diwarein wahaan ke jalwe
Aur wo sunehra Rauda-e-Anwar
ALLAHUAKBAR ALLAHUAKBAR
Madine jaakar sar ko jhuka kar
Karunga arz mai ae mere Sarwar
Maaf kardo ise Shafi-e-mahshar
Yehi pe rakhlo mujh ko Apne Dar par
ALLAHUAKBAR ALLAHUAKBAR
Bulwalo AQA jaber ko Dar par
Iski jaan jaae tumhare Dar par
Qatema ho iska eman par
Hotaun pe ho bas AllahuAkbar
ALLAHUAKBAR ALLAHUAKBAR
View Comments (1)
ALLAH HU AKBAR