X
    Categories: Urdu Lyric

Azal Ki Khushboo Ho

Azal Ki Khushboo Ho jismein Pinhaa’n
koi batae tu naam aisa
wo naam-e-Ahmed (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) ke phool barsein
Bayan Aisa Kalam Aisa
Azal Ki Khushboo

Wohi Hai Qur’an wohi ha furqa’n
wohi hai rab jiska hai sama khaa’n
Farishte pardh pardh ke jhoomte hain
Durood aisa Salam aisa
Azal ki khushboo

Hai deen-e-haq mein jamal-e-yazdaan
hai arsh bhi jispe naaza’n
wohi tu laya hai deen aisa
wohi tu laya nizaam aisa
Azal ki khushboo

wo jis ka saya tu arsh par hai
wo jis ka zaroon ke dil mein ghar hai
wohi jo chamka tu phir na dooba
wohi hai mahe tamam aisa
Azal ki khushboo

nazar be yaqsaa’n ghulam-o-aaqa
buzurgon par tar hai sirf taqwa
koi jahan mein hai deen aisa
kahin hai koi nizaam aisa
Azal ki khushboo

Woh jis andheri gali se guzra
badal diya noor mein andhera
dilon ki dunia badal ke rakhdi
dia dilon ko payam aisa
Azal ki khushboo

Aqeel aisa khalil aisa
jalil aisa jamil aisa
na riffaton mein na azmaton mein
kisi ne paya maqam aisa
Azal ki khushboo

qala’t aisi sa’adat aisi
riya’zat aisi ‘iba’da’t aisi
wo jispe kaabe ko washjd aaya
sujood aisa qayam aisa

Azal ki khush boo ho jismein pinhaa’n
koi batae tu naam aisa
woh naam-e-Ahmed ke phool barsein
bayan aisa kalam aisa
Azal ki khushboo

 

Shujahat Ali:
Related Post