Be khud kiye dete hain andaz hijabana
Aa dil mey tujhe rakh loon aey jalw ae janana
Kyun aankh mila’ee thi kyun aag laga’ee thi
ab rukh ko chupa beyt-hay kar kay mujhay deewanah
Jis ja nazar aathay ho sajday wahi kartha hoon
iss say nahi kuch matlab kaba ho ya buth khana
Ji chahta hey thofay mey dey doon mey unhin ankheyn
darshan ka tho darshan ho nazranay ka nazrana
Mey howsh howaas apnay iss baath pey kho beyt-ha
hans kar jo kaha thu nay aaya mera deewanah
Duniya mey mujhay thu nay gar apana banaya hey
Mehshar mey bhi keh deyna yeh hey mera deewanah
Ithna to karam karna aey nargis masthana
Jab jaan labo par ho tum deed kara janana
Baydam meri qismath mey sajday hey isi dar key
choowta hey na choowtay ga sang dar jananah
Ji chahta hey thofay mey dey doon mey unhin ankheyn
darshan ka tho darshan ho nazranay ka nazrana
Jis ja nazar atte ho sajde wahin karta houn
Is se nahi kuch matlab kabba ho ja butkhana…
Maidane mehshar me tum saath khaday rehna
na jane KhudA kuch pooche, aur na jane kya kehde ye diwana
Peenay ko tho pee lounga, par shart zara si hey
Ajmer ka saki ho, Baghdad ka mehana
Peene ko to peelunga, par shart zara si hai
Baghdad ka saqi ho, Sarhind ka maiqana
Sar shaar muje kar dei aik jaam laba lab see
Tahashar-e rahe saki abaad ye maiqanaa
Dil apne chamak utheeemaan ki talat see
Kar ankheen bhi noraani aa jalwa aa janana
Har phool mein boo teri har shama mein zoo teri
Bulbul hai tera bulbul parwana hai parwana…
View Comments (1)
Beautiful