Dil mein Nabi (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) ki yaad ne, dera jama liya
Saare ghamon mein aapke gham ne bacha liya
Jab tak bike na the, to koi poochta na tha
Sarkar ne khareed ke anmol kar diya
diya
Murshid tu ne dekh kar anmol kar diya
Dunya mein tum ne, jab apna banaya hai
Mehshar mein bhi keh dena, yeh hai mera deewana
Jab tak bike na the, to koi poochta na tha
Sarkar ne khareed ke anmol kar diya
Murshid tu ne dekh ke anmol kar diya
Anmol kar diya
Murshid tere aane se, yeh josh hai masti ka
Sheeshe pe gira sheesha, paimane pe paimana
Nazron se mila nazre bhar de mera paimana
Aabaad khuda rakhe murshid tera ma khana
Ahsan tera bhool na sake ham kabhi
Nazre pila ke aapne Rabb se mila diya
Rabb se mila diya
Kyoun aankh larai thi, kyoun aag lagai hai
Khud rukh ko chupa baithe kar ke ham diwana
Aey ishq tere sadqe jalne se chute saste
Jo aag bhuja degi woh aag lagai hai
Sarshar kara diya hamein be khud kar diya
Aey chasme peer tu ne hamein kya pila diya
Hamein kya pila diya
Bigri bhi banaeinge jalwe bhi dikhaeinge Sarkar bulaeinge
Veerania na aeinge ab ankhon mein kabhi
Maine Madinah aapka, dil mein basa liya
Jee chahta hai tohfe mein bhejhoun unhe aankhein
Darshan ka to darshan ho nazrane ka nazrane
Aaqa teri mehfil ka aey rang judagana
Ham ne to jisse dekha to dekha tere diwana
Data bana diya koi khawaja bana liya
Bandon ko tere ishq ne kya kya bana diya
Dil mein Nabi ki yaad ne dera jama liya
Saare ghamon mein aapke gham ne bacha liya