X
    Categories: Urdu Lyric

Dilon Kay Gulshan Mehek Rahay Heyn

Dilon kay gulshan mehek rahay heyn yay kef kyun aaj aa rahay heyn
Kuchh esa mahsoos ho raha he huzur tashreef laa rahay heyn

Nawazishon par nawazishayn heyn inaayaton par inayatayn heyn
Nabi (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) ki naatayn suna suna kar ham apni qismat jaga rahay heyn

Kahiin pay ronaq he mekashon ki kahiin pay mehfil he dil jalon ki
Wo kitnay khush bakht heyn jo apnay Nabi (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) ki mehfil saja rahay heyn

Na paas pi ho to soona saawan wo jiss say raazi wohi suhaagan
Jinhon nay pakra nabi ka daaman unhi kay ghar jagmaga rahay heyn

Khaan ka mansab kahaan ki dolat qasam khuda ki yay he haqiqat
Jinhayn bulaya he mustafa nay wohi madinay ko ja rahay heyn

Habeeb e daawar ghareeb parwar Rasool e akram karam kay pekar
Kisi ko dar pay bula rahay heyn kisi ki khuabon mayn a rahay heyn

Meyn apnay khair ul-wara kay sadqay meyn unki shaan e ata kay sadqay
Bhara he ebon say mayra daaman huzur phir bhi nibha rahay heyn

Banay ga jaanay ka phir bahana kahay ga aa kar koii deevana
Chalo Niyaazi tumhayn madinay madinay waalay bula rahay heyn

 

Shujahat Ali:
Related Post