X

Dono Alam ke Sarkaar aajayie

Behre deedar mushtaq hai har nazar
Dono aalam ke Sarkar aa jayiye
Chandni raat hai aur pichla pahar
Dono aalam ke Sarkar aa jayiye
Ab toh aa jayiye ab toh aa jayiye

Sidratul muntaha arsho baagh e iram
Hr jaga par chuke hain nishane qadam
Ab to ik baar apne ghulamo k ghr
dono alam k sarkar ajaiye
Ab to ajaiye ab to ajaiye

Mere gulshan ko ik baar mehkaiye
Apne jalwo ki baarish me nahalaiye
Deeda e Shauk ko kijiye paarwar
Dono aalam ke Sarkar aa jayiye
Ab toh aa jayiye ab toh aa jayiye

Saamne jalwagar Paikar e Noor ho
Munkiro ka bi Sarkaar shak door ho
Karke tabdeel ik din Libaas e Bashar
Dono aalam ke Sarkar aa jayiye
Ab toh aa jayiye ab toh aa jayiye

Shaam e umeed ka ab sawera huwa
Suu e Taiba nigaho me dera huwa
Bichh gaye raah me farsh Qalb o Jjigar
Dono aalam ke Sarkar aa jayiye
Ab toh aa jayiye ab toh aa jayiye

Aakhari wakt hai ek bimaar ka
Dil machal ne laga shoke deedar ka
Buj na jaaye kahin ye charage sahar
Dono aalam ke Sarkar aa jayiye
Ab toh aa jayiye ab toh aa jayiye

Shaam e ghurbat hai aur, sheher khamosh hai
Eik Arhsad akela kafan poshhai
Khauf ki hai ghari waqt hai purkhatar
Dono aalam ke Sarkar aa jayiye
Ab toh aa jayiye ab toh aa jayiye

Ali:
Related Post