Falak ke naazaro, zameen ki bahaaro
Sub Eidein manao Huzoor agaye hain
Uttho bay saharo chalo gham ke maaro
khabar ye sunao Huzoor agaye hain
Huzoor agaye hain, Huzoor agaye hain
Anokha niraala Woh zee shaan ayaa
Woh saray Rasoolaun ka Sultan ayaa
Aray kaj kula’ho aray baadshaho
Nigahein jhukao Huzoor agaye hain
Huzoor agaye hain, Huzoor agaye hain
Huwaa char su Rahmataun ka ba’sayra
Ujaala ujaala’ sawera, sawera
Halima (radi Allahu ‘anha) ko pohnchi khabar Aaminah (Radi Allahu ‘anha) ki
Mere ghar main aao, Huzoor agaye hain
Huzoor agaye hain, Huzoor agaye hain
Hawaun mein jazbaat hain Marhaba ke
Fazaun mein naghmaat Salle’Alla ke
Daroodaun ke gajrey, Salamaun ke tohfay
Ghulamo sajaao, Huzoor agaye hain
Huzoor agaye hain, Huzoor agaye hain
Sama hai sana e Habeeb e Khuda ka
Ye Meelad hai Sarwaray Ambiya ka
Nabi ke gadao sub ek doosre ko
Khabar ye sunao, Huzoor agaye hain
Huzoor agaye hain, Huzoor agaye hain
Kahaan mai Zahuri kahaan Unki batein
Karam hi karam hain ye din aur ratein
Jahaan par bhi jaao dilaun ko jagao
Yahi kehte jaao, Huzoor agaye hain
Huzoor agaye hain, Huzoor agaye hain
View Comments (1)
Nice naat!!!!!!!!!
:-) :-D. ;-)