X
    Categories: Urdu Lyric

Ham Dar-E-Aaqa Pay Sar Apna Jhuka Letay Hain

Ham dar-e-Aaqa (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) pay sar apna jhuka letay hain
Sach bataana array duniya tera kya letay hain

Uss ko aankho pay bithaatay hain zamaane waalay
Jiss ko Mehboob e-KHUDA apna bana letay hain

Waqt ki kaif nahee hay ye karam ki baatein
Jab bhi Sarkaar ki marzi ho bula letay hain

Gham kay maarou ka tabeebo na karo koi elaag
Ham gham e Ishq-e-Nabi  (salla Llahu ‘alayhi wa sallam)may bhi maza letay hain

Patharou tum tou ho pathar magar Aaqa  meray
Tum say gar chaheu tou kalma bhi parha letay hain

Jab nahi milti kahee say bhi sukooun ki daulat
Teri mehfil Teray dewaanay saja letay hain
Ye bhi Sarkaar ki rehmat hay karam hay unka
Ham jahaa jaey wahaa rang jamaa letay hain

Gumbad-e-Khazra  KHUDA tujh ko salaamat rakhay (Aameen)
Dekh letay hain Tujhay pyaas bujha letay hain

 

Shujahat Ali:
Related Post