Hamare Aqa (salla Llahu ‘alayhi wa sallam woh sab se pyare hamare dil mein basse hue hain
Khuda bhi jin se hai pyar karta hai, hamare dil mein basse hue hain
Hamare Aqa…
Utha do parda dikha do chehra ke noori bari hijab mein hai
Zamana tari ke ho raha hai ke mehr kab se niqab mein hai
Hamare Aqa…
Koi saliqa hai arzu ka na bandagi mein bandagi hai
Yeh sab tumhara karam hai Aqa ke baat ab tak bani hui hai
Hamare Aqa…
Hamare daman mein kuch nahi hai
Jo hai to Aqa hai ishq tera
Issi liye to faqir tere, teri galli mein khare hue hain
Amal ke meri ihsas kya hai wajuz nadam ke paas kya hai
Rahe salamat bas unki nisbat
Mera to bas aasraa yehi hai
Hamare Aqa…
Kahin na dekha zamane bhar mein jo Madine mein aake dekha
Tajalliyon ka laga hai mela jahan bhi nigahein utha ke dekha
Hamare Aqa…
Tajaliyon ke kafil tumho murad qalbe dalil tumho
Khuda ki roshan dalil tumho, yeh sab tumhari roshni hai
Bashir kahiye nazir kahiye inhe siraj e Munir kahiye
Jo sar ba sar kalam e Rabbi woh meri Aqa ki zindigi hai
Hamare daman mein kuch nahi hai
Jo hai to Aqa hai ishq tera
Issi liye to faqir tere, teri galli mein khare hue hain
Hamare Aqa…