X
    Categories: Urdu Lyric

Haqeeqat Me Woh Lutfe Zindagi Paya Nehi Karte

Haqeeqat me woh lutfe zindagi paya nehi karte,
jo yaad e Mustafa (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) se dil ko garmaya nehi karte

ZabaN parr shikwae ranj o alam laya nehi karte,
Nabi ke naam lewa gham se gabraya nehi karte

yeh he darbaar Aqa ka yahaaN milta he bemange,
are nadaN yahaan daman ko phelya nehi karte

Yeh darbaar e Muhammad (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) hi Yahaan apno ka kya kehna,
Yahaan se hath khali gher bhi jaya nehi karte

Are o na samaj qurbaan hoja onke roze perr,
yeh lamhe zindagi me baar baar aya nehi karte

Muhammad Mustafa (salla Llahu ‘alayhi wa sallam)  ki shaan e rehmet to zarah dekho,
sittam sehte to hain lekin sittam daya nehi karte

Muhammad Mustafa (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) ke baagh keh sabh phool aise hain,
Yeh bepaani ke tarr rehte hain murjaya nehi karte

Nadamat sath le karr hashr me ae asio jana,
sonna he sharm walo ko woh sharmaya nehi karte

Aggar ho jazba e sadiq to aksar humne dekha he,
woh khud tashreef le ate hain tarpaya nehi karte

Jo inke damaan e rehmet se wabasta hain ae Hamid,
Kissi ke samne woh hath phelaya nehi karte

Haqeeqat me woh lutfe zindagi paya nehi karte,
jo yaad e Mustafa (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) se dil ko garmaya nehi karte

 

Shujahat Ali:
Related Post