X

Hawa Ki Khusboo Bata Rahi Hay

Hawa ki khusboo bata rahi hay, Woh zulf apni sajaa rahay hain
Sawaari Tayba say chal parri hay, Huzuur (salla Llahu ‘alayhi wa salllam) tashreef laa rahay hain

Aur kahee pay mehfil hay mehkashou ki, kahee pay mehfil hay dil jallou ki
Ye kitnay khushbakht hain jo apnay Nabi ki mehfil saja rahay hain

Na paas bhi ho tou suuna saawan, Woh jis pay raazi wohi suhaagan
Jinhou nay pakra Nabi ka daaman, Unhi kay ghar jagmagaa rahay hain

Habeeb-e-daawar ghareeb parwar Rasool-e-Akram karam kay payker
Kissi ko der pay bula rahay hain, kissi kay khawaab may aa rahay hain

May apnay Khair-ul-waraa kay sadqay, May Unki shaan-e-ata kay sadqay
Bhara hay aybou say meray daaman, Huzuur phir bhi nibha rahay hain

Bannay ga jaanay ka phir bahaana, kahay ga aaker koi dewaana
Challo Niyaazi challay Madinay, Madinay Waalay bula rahay hain

 

Saad:

View Comments (1)

Related Post