Hum bhi aye kaash Madine mein bulaaye jaate
Shah-e-Konain (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) ke mehmaan banaaye jaate
Zindgaani ko bhi jeene ka saleeqa aata
Raat bhar Unki huzoori mein jagaaye jaate
Wajd mein hoke bhi eik hosh ki dunya hoti
Parde aankhon se meri itne hattaaye jaate
Aapke (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) qurb ki khushbu ki sa’adat ka nasha
Dekhte Roza-e-Purnoor ko aate jaate
Eik jharri ansuon ki nazr-e-aqeedat karte
Daagh-e-isyaan bhi issi tarha mittaaye jaate
Martaba apna bhi shahon se zyada hota
Unki dehleez pe jab Shaad bithaaye jaate.
Hum bhi aye kaash Madine mein bulaaye jaate
Shah-e-Konain (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) ke mehmaan banaaye jaate