X

Ik Main Hi Nahi Un Par Qurban Zamana Hai

Ik Main Hi Nahi Un Par Qurban Zamana Hai

Ik Main Hi Nahi Un Par Qurban Zamana Hai
Jo Rab E Do Aalam Ka Mahboob (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) Yagana Hai.

Kal Pul Say Hamein Jis Nay Khud Par Lagana Hai
Zahra (radi Allahu ‘anha) Ka Woh Baba Hai Hasnain (radi Allahu ‘anhum) Ka Nana Hai

Ik Main Hi Nahi Un Par Qurban Zamana Hai
Jo Rab E Do Aalam Ka Mahboob Yagana Hai.

Aao dar e Zahra (radi Allahu ‘anha) Par Phalaye Hue Daman
Yeh Nasal Kareemon Ki Lajpal Gharana Hai

Ik Main Hi Nahi Un Par Qurban Zamana Hai
Jo Rab E Do Aalam Ka Mahboob (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) Yagana Hai.
Yeh Keh Kay Dar e Haq Say Li Maut Mein Kuch Mohlat,
Milad Ki Aamad as-salatu wa s-salam Hai Mehfil Ko Sajana Hai

Mehroom e Karam Is Ko Rakhiye Na Sar e Mehshar,
Jaisa Hai Naseer Aakhir, Sahil Toh Purana Hai.

Ik Main Hi Nahi Un Par Qurban Zamana Hai
Jo Rab E Do Aalam Ka Mahboob as-salatu wa s-salam Yagana Hai.

Ali:
Related Post