Itna kaafi hai zindagi ke liye
Rakh lein Aaqa (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) jo naukri ke liye
Itna kaafi hai zindagi ke liye
Rakh lein Sarkar chaakri ke liye
Takk unko Ayyub ke ghar mein
Mahel tarse hain jhomprri ke liye
Itna kaafi hai zindagi ke liye
Rakh lein Aaqa (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) jo naukri ke liye
Aagaye qabr mein bhi churrwaane
Dard kitna hai ummati ke liye
Itna kaafi hai zindagi ke liye
Rakh lein Aaqa (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) jo naukri ke liye
Lambe sajde kiye Nabi (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) ne kaha
Aye Nawaase teri khushi ke liye
Itna kaafi hai zindagi ke liye
Rakh lein Aaqa (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) jo naukri ke liye
Chaand taare bhi Unke qadmon mein
Roz aate hain roshni ke liye
Itna kaafi hai zindagi ke liye
Rakh lein Aaqa (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) jo naukri ke liye
Doobe suraj ko phirse palltaya
Apne pyare Maula Ali (radi Allahu ‘anhu) ke liye
Itna kaafi hai zindagi ke liye
Rakh lein Aaqa (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) jo naukri ke liye
Khud darakht bhi jarrein ukhare
Aate hain paas Unke haazri ke liye
Itna kaafi hai zindagi ke liye
Rakh lein Aaqa (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) jo naukri ke liye
Mehfil-e-amaad sajji rahe ta umar
Iltija yehi hai zindagi ke liye
Itna kaafi hai zindagi ke liye
Rakh lein Aaqa (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) jo naukri ke liye
Aye kash aaye woh maqaam bhi
Jiyein bas ham Aaqa (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) ki ashiqui ke liye
Itna kaafi hai zindagi ke liye
Rakh lein Aaqa (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) jo naukri ke liye
Deed maangi hai Unki aye Haakim
Maine bass waqt-e-aakhri ke liye
Itna kaafi hai zindagi ke liye
Rakh lein Aaqa (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) jo naukri ke liye
Itna kaafi hai zindagi ke liye
Rakh lein Sarkar (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) chaakri ke liye