X
    Categories: Urdu Lyric

Jaldi Ham Aazmi-E-Gulzar-E-Madina Honge

jaldi ham aazmi-e-gulzar-e-madina honge
aazmi-e-dargah-e-sarkar-e-madina honge

ab to noorani chaman zaar-e-madina honge
samne ab mere kohsar-e-madina honge

sabz gumbad ki waha khub bahare hongi
rubaru phir mere minar-e-madina honge

wajd aajaiga khismat ko bhi us dam walla
samne jab mere Sarkar-e-madina (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) honge

unki rahmat se jo miljai baqi-e-markhad
bil haqeeqat qabr me anwar-e-madina honge

hashr ka qouf na rakho aae ghulam-e-nabi
apne haami waha sarkar-e-madina honge

unko haasil mere aqa ki shafaat hogi
jo koi hazir-e-darbar-e-madina honge

mere sarkar ka aaiga bulawa unko
jo koi dil se talab gaar-e-madina honge

hashar me jainge ATTAR yu inshallah
apni darhi me saje haar-e-madina honge

 

Shujahat Ali:
Related Post