X
    Categories: Urdu Lyric

Jashn e Amad e Rasul, Allahi Allah

Jashn e Amad e Rasul, Allahi Allah
Bibi Amina ke phool, Allahi Allah

Noor ki tann gaeen chaadrain chaarsoon
Hoor-o-gilmaan ki poori hoii arzoo

Mustafa mujtaba shah-e-kono mukaam
Rub ki sarkaar jub hogaey roh baroh

Phir khuda ne khaha mere mahboob tum
Ho rasuloon ke Rasul, Allahi Allah

Jashn e Amad e Rasul, Allahi Allah
Bibi Amina ke phool, Allahi Allah

Chehra-e-Mustafa jub dikhaya gaya
Jhook gaye taarey aur chaand sharmaa gaya

Amina dekh kar muskuraney lageen
Hawwa Maryam bhi khushiyaan manane lageen

Amina bibi sub se kehney lageen
Dua ho gayi qabul, Allahi Allah

Jashn e Amad e Rasul, Allahi Allah
Bibi Amina ke phool, Allahi Allah

Farsh se arsh tak noor ka hai samaa
Laaey tashreef doniyan main khair-ul-waraa

Aasi ummat ki kismal sawarney lagii
Barishain rehmatoon ki barasney lageen

Ay Haleema teri looriyoon keyliye
Rabb ke aagaey Rasul, Allahi Allah

Allahi Allah Bolo Allahi Allah

Rabb ke aagaey Rasul, Allahi Allah

Jashn e Amad e Rasul, Allahi Allah
Bibi Amina ke phool, Allahi Allah

Boodd girey tooth kar khaaq main attak gaaey
Kufr ke phele baadal sabhi chatt gaey

Jub Rukh-e-Mustafa ki pari roshni
Ye zameenon zamaan khood main butt gaaey

Hoor-o-gilman malaik sabhi aaj hain
Zikr Ahmed main mashgool, Allahi Allah

Jashn e Amad e Rasul, Allahi Allah
Bibi Amina ke phool, Allahi Allah

Shaadiyaaney khoshi ke bajaaey gaaey
Shaadi ke naghmey sab ko sonaaney gaaey

Har taraf shaur Salli ‘ala hogaya
Aaj paida Habib-e-Khuda  hogaya

Phir tu Jibreel ne bhi ye ailan kiyaa
Ye Khudaa ke hain Rasul, Allahi Allah

Bibi Amina ke phool, Allahi Allah
Allahi Allah bolo Allahi Allah
Jashn-e-Amad-e-Rasool Allahi Allah

Chehra Quraan ki tafseer hai
Noor hi noor hai Haq ki tasveer hai

Mussaf-e-Mustafa ke oojaalon ke rung
Rehmatoon se sajii ek tasveer hai

Jaane kaunay ju hai Shafee-ul-waraa
Aysey piyaare hain Rasul, Allahi Allah

Jashn e Amad e Rasul, Allahi Allah
Bibi Amina ke phool, Allahi Allah

Shujahat Ali:

View Comments (1)

Related Post