X
    Categories: Urdu Lyric

Jo Shehr-E-Nabi May Jaey Ga

Jo Shehr-e-Nabi (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) may jaey ga
Wo waapis kaisey aaey ga
Jab bichray gaa mar jaey ga
Ono Shehr Madina bhulna nae
Ono Shehr Madina bhulna nae
Ono Shehr..

Dukhiyoo ka ghamkhaar wohi hay
Aalam ka mukhtaar wohi hay
Hay har aik baat kareenay may
Aik dard rahey ga seenay may
Hay jis ki jaan Madine may

Ono Shehr Madina bhulna nae
Ono Shehr Madina bhulna nae
Ono Shehr..

Ruumi Habshi, Misri shaami
Ho jaawey Maula na jaa we
koi khaaki hay ya nuuri hay
kab us ko gawaara duuri hay
Har aashiq ki majbuuri hay

Ono Shehr Madina bhulna nae
Ono Shehr Madina bhulna nae
Ono Shehr..

Sab ki aankein baras rahi hain
Sab ki nazrein taras rahi hain
Jo aap ka sag kehlaata hay
Jo aap kay tukray khaata hay
Jo dekh kay taiba ata hay

Ono Shehr Madina bhulna nae
Ono Shehr Madina bhulna nae
Ono Shehr..

Koun uss Shehr ki baat sunaey
Khud Quraan qaseedeh gaey
Rehmat kay ajab ja millay hain
Husnain (radi Allahu ‘anhu) jahaa per khailay hain
Jissay yaad wahaa kay mailay hain

Ono Shehr Madina bhulna nae
Ono Shehr Madina bhulna nae
Ono Shehr..

Jannat par kuu jee lalchaey
Shehr Madina bhool na paey
Jo Shehr Nabi (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) ki raatein hain
Qudrat ki wo sogaatein hain
Jissay yaad wahaa ki baatein hain

Ono Shehr Madina bhulna nae
Ono Shehr Madina bhulna nae
Ono Shehr..

Jab uss Shehr ki baat challey ge
Hijr ki kaali raat kattey ge
Jis dil may Madina rehta hay
Jiss aankh say dariya behta hay
Dil maira Naat kehta hay

Ono Shehr Madina bhulna nae
Ono Shehr Madina bhulna nae
Ono Shehr..

Jo Shehr-e-Nabi(salla Llahu ‘alayhi wa sallam) may jaey ga
Wo waapis kaisey aaey ga
Jab bichray gaa mar jaey ga

Ono Shehr Madina bhulna nae
Ono Shehr Madina bhulna nae
Ono Shehr…

 

Shujahat Ali:
Related Post