X
    Categories: Urdu Lyric

Kaabay Kay Dar Kay Saamnay Mangi Hai Dua Faqat

Ka’abay Kay Dar Kay Saamnay Maangee Hai Ye Dua Faqat
Haathon Mein Hashar Tak Rahay Daaman-e-Mustafa Faqat

Apnay Karam Say Ae Khuda Ishq-e-Rasool Kar Ataa
Aakhree Dum Subaan Pay Ho Sallay A’la Sadaa Faqat

Tayba Kee Sayr Ko Chalein Qadmon Mein Unki Jaan Dein
Dafn Hoon Unkay Shehar Mein Hai Yehee Iltija Faqat

Duniya Kee Saari Ne’ymatein Meri Nazar Mein Hainch Hoon
Rakhnay Ko Sar Pay Gar Milay Na’lein-e-Mustafa Faqat

Munkar Nakeer Qabar Mein Hum Say Sawaal Jab Karein
Aisay Mein Wird Hum Rakhein Aap Kay Naam Ka Faqat

Naza’a Kay Waqt Jab Meri Saanson Mein Intishaar Ho
Meri Nazar Kay Saamnay Gumbad Ho Woh Hara Faqat

Na’at-e-Rasool-e-Paak Hai Nazmi Ka Maqsad-e-Hayaat
Qabr Mein Bhi Laboon Pay Ho Sarkaar Kee Sana Faqat

 

Shujahat Ali:
Related Post