X

Main to khud Unke dar ka gada hoon

Main to khud Unke dar ka gada hoon,
Apne Aqa ko main nazr kya doon.
Ab to aankhon mein bhi kuch nahi hai,
Warna qadmon mein ankhein bicha doon.

Aane wali hai unki sawari,
Phool naaton ke ghar ghar saja doon.
Mere ghar mein andhera bohot hai,
Apni palkon pe shamme jala doon.

Rauza-e-paak pesh-e-nazar hai,
Samne mere Aqa ka darr hai.
Mujhko kya kuch nazar aa raha hai,
Tumko lafzon mein kaise bata doon.

Mere aansu bahut qeemti hain,
Inse wabasta hai unki yaadein.
Inki manzil hai khak-e-madina,
Ye gohar yun hi kaise luta doon.

Main faqat Aap ko jaanta hoon,
Aur isi dar ko pehchanta hoon.
Is andhere mein kisko pukaroon,
Aap farmaen kisko sada doon.

Qaafilay jaa rahe hain Madine,
Aur hasrat se main tak raha hoon.
Ya lipat jaun qadmon se unke,
Ya qaza ko main apni sada doon.

Meri bakhshish ka samaan yahi hai,
Aur dil ka bhi armaan yahi hai.
Ek din Unki khidmat mein jaakar,
Unki natein unhi ko suna doon.

Mujhko Iqbal nisbat hai unse,
Jinka har lafz jaan-e-sukhan hai.
Main jahaan naat apni suna doon,
Saari mehfil ki mehfil jaga doon

Maryam:
Related Post