May so jaoo Ya MUSTAFA (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) kehtey kehtey
Khulley aankh Salli ‘ala kehtey kehtey
Sitam pay Sitam seh gaey dushmano kay
Habeeb-e-KHUDA, Ya KHUDA kehtey kehtey
May so jaoo Ya MUSTAFA (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) kehtey kehtey
Khulley aankh Salli ‘ala kehtey kehtey
Guzarte thay kaantey bharrey raasto say
RASOOL-e-KHUDA, Marhaba kehtey kehtey
May so jaoo Ya MUSTAFA (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) kehtey kehtey
Khulley aankh Salli ‘ala kehtey kehtey
Huwey surkhuru Aap her maarkey may
Fakat Rabbana, Rabbana kehtey kehtey
May so jaoo Ya MUSTAFA (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) kehtey kehtey
Khulley aankh Salli ‘ala kehtey kehtey
Shahe her do Aalam ne naam-e-jabee say
Bhara paet shukrey KHUDA kehtey kehtey
May so jaoo Ya MUSTAFA (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) kehtey kehtey
Khulley aankh Salli ‘ala kehtey kehtey
Andheiroo may ham ne kiya hay ujaala
Aqeedat sey Noor-ul-Huda kehtey kehtey
May so jaoo Ya MUSTAFA (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) kehtey kehtey
Khulley aankh Salli ‘ala kehtey kehtey
Dilley muztarib ko qaraar aagya hay
Shabo roz Ya MUJTABA (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) kehte kehte
May so jaoo Ya MUSTAFA (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) kehtey kehtey
Khulley aankh Salli ‘ala kehtey kehtey
Museebat kay maaro kathan manzillo say
Guzer jaoo Ya Mustafa kehtey kehtey