X
    Categories: Urdu Lyric

Mere Aqa Aoo Ke Muddat Hoi hai

Mere Aqa Aoo Ke Muddat Hoi hai, Teri Rah Main Akhiyan Bichchate Bichchate
Teri Hasraton Main,Teri Chahton Main Bade din Howe Ghar Sajaate Sajaate

Mere Aqa Aoo Ke Muddat Hoi hai

Mera Yeh hai Emaan,Yeh Mera Yakeen Hai -Mere Mustafa Sa Na Koi Haseen Hai
Ke Rukh Unka Dekha Hai Jabse Qamar Ne Nikalta Hai Moo Ko Chupate Chupate

Mere Aqa Aoo Ke Muddat Hoi hai

Qayamat Ka Manzar Bada Purkhatar Hai – Magar Mustafa ka Jo Deewana Ho Ga
Who Pul Pay se Guzre Ga Masroor Ho Ke – Naara Nabi Ka Lagate Lagate

Mere Aqa Aoo Ke Muddat Hoi hai

Mere Lab Pe Mola,Na Koi Sada Hai – Fakat Mujh Nikamme ki Yeh Hi Dua Hai
Meri Saans Nikle Dar-e- Musftafa Pe – Gham-e-Dil Nabi Ko Sunate Sunate

Mere Aqa Aoo Ke Muddat Hoi hai, Teri Rah Main Akhiyan Bichchate Bichchate

Teri Hasraton Main,Teri Chahton Main Bade din Howe Ghar Sajaate Sajaate
Yeh Mana ke Ek Din Aani Kaza Hai – Magar Dosto Tumse Yeh iltaja Hai
Ke Shehr-e-Muhammad (salla Llahu ‘alaykum wa sallam) Ki Har Ek Gali Se – Jaza Uthana Ghumaate Ghumaate

Mere Aqa Aoo Ke Muddat Hoi hai, Teri Rah Main Akhiyan Bichchate Bichchate

Mere Aqa Aoo Ke Muddat Hoi hai

Na Kaabe Se Matlab Na Masjid ki Chahat – Fakat Dil Main Haakim Tamanna Yahi
Jo Mil Jaaye Naksh-e-Kafay Paaye Ahmed -Tu Mar Jaayen Sir ko Jhukate Jhukate

Mere Aqa Aoo Ke Muddat Hoi hai, Teri Rah Main Akhiyan Bichchate Bichchate
Teri Hasraton Main,Teri Chahton Main Bade din Howe Ghar Sajaate Sajaate

Mere Aqa Aoo Ke Muddat Hoi hai

 

Shujahat Ali:
Related Post