Muda’a zeest ka mene paaya
Rahmat e Haq ne kiya phir saya
Mere Aqa (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) ne karam farmaya
Phir Madine ka bulawa aaya
Pehle kuch ashk bahaa lu to chalu
Ek nayyi naat sunaa lu to chalu
Syyedi Anta Habibi
Chand taare mujhe dekhe ge
Mahpaare bhi mujhe dekhe ge
Khud nazaare bhi mujhe dekhe ge
Ghum ke maare bhi mujhe dekhe ge
Main nazar sab se bacha lu to chalu
Ek nayyi naat suna lu to chalu
Syyedi Anta Habibi
Samne ho jo dar e lutf o karam
Me karoo arz ke Ya Shah e Ummam
Aagaya aap ka muhtaaj e karam
Is gunahgaar ka rakhiye ga bharam
Shawq ko arz bana lu to chalu
Ek nayyi naat suna lu to chalo
Syyedi Anta Habibi
Un ki midhat me hain jeena mera
Kaise doobe ga safina mera
Dekh lo cheer ke seena mera
Dil hain ya Sheher e Madina mera
Dil Adeeb apna dikha lu to chalu
Ek nayyi naat suna lu to chalu
Syyedi Anta Habibi