X
    Categories: Urdu Lyric

Nabi Kay Ishq Nay Jis Ko Haseen Banaaya Hay

Nabi (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) kay ishq nay jis ko haseen banaaya hay
Wohi Fareed, Wohi Data ban kay aaya hay

Nabi (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) kay ishq nay

Jahaa kahee bhi kadam maira dagmagaaya hay
Sahaara denay karam Aapka (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) he aaya hay

Nabi (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) kay ishq nay

Sata sakkay gee na humko ye garmiy-e-Mehsher
Hamaaray ser pay Habeebay KHUDA (S.A.W.W) ka saaya hay

Nabi (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) kay ishq nay

Issi tamanna may jeeta hoo koi ye keh day Ya RASOOLALLAH (salla Llahu ‘alayhi wa sallam)
Challo challo tumhay Sarkaar (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) nay bulaaya hay

Nabi (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) kay ishq nay

Bura samajh kay jahaan nay jo tak diya jiss ko
Tairey (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) karam nay ussay bhi gallay lagaaya hay

Nabi (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) kay ishq nay

Farishtay aatay hain rehmat kay uss kay ghar jiss nay
Tumhari zikr ki mehfil say ghar sajaaya hay

Nabi (salla Llahu ‘alayhi wa sallam)kay ishq nay

Jo sang kha kay bhi ta’if may muskuraaya hay
Wo koi aur nahi Aamna (radi Allahu ‘anha) ka jaaya hay

Nabi (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) kay ishq nay

Ghammay Habeebay KHUDA (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) nay jissay nawaaz diya
Aleem aalamay gham may bhi muskuraaya hay

Nabi (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) kay ishq nay jis ko haseen banaaya hay
Wohi Fareed, Wohi Data ban kay aaya hay

 

Shujahat Ali:
Related Post