X
    Categories: Urdu Lyric

Nah Kaleem Ka Tasawwur

nah kaleem ka tasawwur nah khiyaal-e-tur-e-sinaa
meri aarzu Muhammad (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) meri justuju Madinah

main gadaae Mustafa  (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) hun meri azmatein nah poocho
mujhe deykh kar jahannam ko bhi aa geya paseenah

mujhe dushmano nah cherho mera koi hai jahaan main
main abhi pukaar lun ga naheen dur hai Madinah

main mareez-e-Mustafa (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) hun mujhe cherho nah tabibo
meri zindagi jo chaaho mujhe le chalo Madinah

meray dubne main baqi nah koi kasar rahi thi
kahaa “almadad Muhammad”  (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) tho ubhar geyaa safinah

siwaa is ke meray dil mein koi aarzu nahein hai
mujhe mowt bhi jo aaey tho ho saamne Madinah

kabhi aey Shakeel dil se nah mite khiyaal-e-Ahmad (salla Llahu ‘alayhi wa sallam)
isi arazu mein marna isi arazu mein jeena

 

Shujahat Ali:
Related Post