Qurbaan me unki bakhshish ke
Maqsad bhi zabaan pe aaya nahi
Bin maange diya aur itna diya
Daaman me humaare samaaya nahi
Imaan mila Un ke sadqe
Quraan mila Un ke sadqe
Rahmaan mila Un ke sadqe
Wo kya hain jo hum ne paaya nahi
Dil bar gaye mangto ke lekin
Dene se Teri neeyat na bari
Jo aaya usse bar bar ke diya
Mahroom koi lotaaya nahi
Un ka tho shiaar kareemi hain
Ma’il ba karam hi rehte hain
Mangto ki hamesha laaj rakhi
Mahroom kabhi lotaaya nahi
Khursheed e qayaamat ki taabish
Maana ke qayaamat hi hogi
Hum Unke hain ghabraaye kyun
Kya hum pe Nabi ka saaya nahi
Us Mohsin e Azam ke to
Khalid pe hazaaro ehsaan hain
Qurbaan maghar is ehsaan ke
Ehsaan bhi kiya to jataya nahin