X

Rukh e Mustafa ko dekha

Rukh e Mustafa (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) ko dekha to diyon ne jalna seekha
Yeh karam hai Mustafa ka shab e gham ne dhalna seekha

Yeh zameen ruki hui thi yeh falak thama hua tha
Chale jab mere Muhammad (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) to jahan ne chalna seekha

kis ne zarron ko uthaya aur sahra kar diya
kis ne qatron ko milaya ayr darya kar diya
kis ki hiqmat ne yateemon ko kiya durre yateem
aur ghulamon ko zamane bhar ka maula kar diya
admiat ka gahraz saama muhayya kar diya
ik arab ne aadmi ka bol bala kar diya

Chale jab mere Muhammad to jahan ne chalna seekha

Bara khush naseeb hoon main, meri khush naseebi dekho
Barri kam seeni se main ne hai yeh naat parhna seekha

apni bakhshish apni bhalai ka samaan nikala hai
main to nabi ke gun gata hoon jab se hosh sambhala hai
bachpan mein pehle din se nabi ka liya tha naam
us din se aaj tak mere munh mein mithaas hai

Barri kamseeni se main ne hai yeh naat parhna seekha

Main raha khalish muzaffar dar e paak e mustafa par
Mere jazb e aashiqi ne kahan ghar badalna seekha

aa ke baitha to na uththa woh teri mehfil se
phir kahin yaar tera chahne wala na gaya

Mere jazb e aashiqi ne kahan ghar badalna seekha

Maryam:
Related Post