X
    Categories: Urdu Lyric

Sarkare Do Alam Ke Rukh Par, Anwaar Ka Alam Kya Hoga

Jab Zulf Ka Zikr Hai Qur’an Mein, Rukhsar Ka Alam Kya Hoga

Mehboobe Khuda Ke Jalwon Se, Iman Ki Ankhen Raushan Hain
Bin Dekhey Hi Jab Yeh Alam Hai, Didar Ka Alam Kya Hoga

Sarkare Do Alam Ke Rukh Par, Anwaar Ka Alam Kya Hoga
Jab Zulf Ka Zikr Hai Qur’an Mein, Rukhsar Ka Alam Kya Hoga

Jab Unke Gada Bhar Detey Hain, Shahane Zamana Ki Jholi
Mohtaj Ki Jab Yeh Halat Hai, Mukhtar Ka Alam Kya Hoga

Sarkare Do Alam Ke Rukh Par, Anwaar Ka Alam Kya Hoga
Jab Zulf Ka Zikr Hai Qur’an Mein, Rukhsar Ka Alam Kya Hoga

Hai Naam Mein Unka Itna Asar, Ji Uthte Hai Murdey Bhi Sun Kar
Woh Haal Agar Khud Puchein To, Bimar Ka Alam Kya Hoga

Sarkare Do Alam Ke Rukh Par, Anwaar Ka Alam Kya Hoga
Jab Zulf Ka Zikr Hai Qur’an Mein, Rukhsar Ka Alam Kya Hoga

Jab Unke Ghulamon Ke Dar Par, Jhukte Hain Salaati-ne Alam
Phir Koi Bataey Aqa Ke, Darbar Ka Alam Kya Ho Ga

Sarkare Do Alam Ke Rukh Par, Anwaar Ka Alam Kya Hoga
Jab Zulf Ka Zikr Hai Qur’an Mein, Rukhsar Ka Alam Kya Hoga

Jab Sunke Sahaba Ki Baaten, Kuffar Musalman Hote Hain
Phir Donon Jahan Ke Sarwar Ki, Guftar Ka Alam Kya Hoga

Sarkare Do Alam Ke Rukh Par, Anwaar Ka Alam Kya Hoga
Jab Zulf Ka Zikr Hai Qur’an Mein, Rukhsar Ka Alam Kya Hoga

Taibah Se Hawa Jab Ati Hai, Bekal Ko Sukun Mil Jata Hai
Is Paar Ka Jab Yeh Alam Hai, Us Par Ka Alam Kya Hoga

Sarkare Do Alam Ke Rukh Par, Anwaar Ka Alam Kya Hoga
Jab Zulf Ka Zikr Hai Qur’an Mein, Rukhsar Ka Alam Kya Hoga

Shujahat Ali:

View Comments (1)

Related Post