X
    Categories: Urdu Lyric

Shehr-e-Taiba Ke Chamman Ki

Shehr-e-Taiba ke chaman ki har kalli ki khayr ho.
Mere Aaqa (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) ke Madine ki galli ki khayr ho.

Su-e-Taiba jaa rahe hain kafile ushaaq ke.
Har gadda-e-Mustafa ki hazri ki khayr ho.

Maangte hain khayr aksar log apne waste.
Mustafa ke labb pe hai, har ummati ki khayr ho.

Aap ke Siddique ka rutba rahe baala sadda.
Aap ke Shabbir o Shabbar, aur ‘Ali ki khayr ho.

Jab Bilal-e-basefa ko kafiron ne di saza.
Ishq bola tere ashiq ki ashiqi ki khayr ho

Aap ko pohncha diya jab ghaar mein Siddique ne.
Khud Khuda bola tumhari dosti ki khayr ho.

Karbala mein haqq ada tune kiya islaam ka.
Aaye ‘Ali ke Laal teri bandagi ki khayr ho.

Likh rahe hain jo sana-e-Mustafa, Nasir sadda.
Aise saare shayaron ki shayari ki khayr ho.

Shehr-e-taiba ke chaman ki har kalli ki khayr ho.
Mere Aaqa ke Madine ki galli ki khayr ho.

Maria (Moderator):
Related Post