X

Tera naam wird e zuban rahe

Tera naam virde zubaan rahay, meri aur koi dua nahin
Mujhay apnay dar ki bheek day, kay teray khazanay main kiya nahin.

Ho karam nawazi huzoor ki, meray ghamkaday mein bhi aa kabhi
Meray chara ghar aie meray nabi, mera koi teray siwa nahin.

Yeh teray Niyazi ki eid hai, abhi aur hasratay deed hai
Isay choom lenay do jaliyaan, abhi dil to iss ka bhara nahin.

Rukhay mustafa hai woh aaina kay ab aisa dusra aaina
Na hamari bazmay khiyal mein, na dukanay aaina saaz mein.

Tera jalwa paishay nazar rahay tujhay dekh ker mein jiya karoon
Jahan koi teray siwa na ho, mein ussi faza mein raha karoon.

Rukhay Mustafa (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) woh kitaab hai, jo muhabatoon ka nisaab hai
Wohi meray paishay nazar rahay, yehi raat din mein parha karoon.

Teri yaad meri namaz hai, teri yaad gham ka woh saar hai
Tera shukar rehmatay do jahan, mein karoon to kaisay aada karoon.

Jo kabhi naseeb ho hazri, to milay naseeb ko yawareen
Teray sangay dar pay jhuka kay sir, mein namaz e ishq aada karoon.

Mujhay apna jalwa dikhaye ja, meray dil mein aakay simaye ja
Mein sharab e marafat e khuda, tera naam lekay piya karoon.

Maryam:
Related Post