Ya RasulaLlahi salamun ‘alayk, ya Habiba Llah salamun ‘alayk
Anta shams ud-Duha, anta Badr ud-Duja
Anta sadr ul-‘ula, anta noor ul-‘ula
Ya RasulaLlahi salamun ‘alayk, ya Habiba Llah salamun ‘alayk
Main to kya cheez houn, baadshah tajwar
tere darbaar ki jaaliyan thaam kar
Karte hain raat din iltijaein yehi
maangte raat din hain duaein yehi
Ya RasulaLlahi salamun ‘alayk, ya Habiba Llah salamun ‘alayk
Dagmaun jo halaat ke samne, aey tera tasawur mujhe thamne
Meri khushqismati main tera ummati, meri khushqismati main tera ummati
Ya RasulaLlahi salamun ‘alayk, ya Habiba Llah salamun ‘alayk
Mera kya kar sakegi bhambar mein bala
naaz aap par ya Habib e khuda
Aap ka naam lete hi bera mera
Doobte doobte hi sambhal jaega
Ya RasulaLlahi salamun ‘alayk, ya Habiba Llah salamun ‘alayk
Meri qismat ka likha badal jaega
Laaj rakhni paregi Tumhe har jaga
Meri qismat ka hoga wohi faisila
Aap ke moun se jo bhi nikal jaega
Ya RasulaLlahi salamun ‘alayk, ya Habiba Llah salamun ‘alayk
Dastabasta kharein hain yeh hazir ghulam
pesh karte hain yeh aajizana salam
Ho qabul, Ho qabul yeh salat o salam
Ho qabul, ho qabul yeh salat o salam
Ho qabul, ho qabul yeh salat o salam
Ho qabul, ho qabul yeh salat o salam