Salam

Salutations on the Beloved of Allah (salla Llahu ‘alayhi wa sallam)

Ya RasulaLlahi salamun alayk

Ya RasulaLlahi salamun ‘alayk, ya Habiba Llah salamun ‘alayk Anta shams ud-Duha, anta Badr ud-Duja Anta sadr ul-‘ula, anta noor ul-‘ula Ya RasulaLlahi salamun ‘alayk, ya Habiba Llah salamun ‘alayk Main to kya cheez houn, baadshah tajwar tere darbaar ki jaaliyan thaam kar Karte hain raat din iltijaein yehi maangte raat din hain duaein yehi Ya RasulaLlahi salamun ‘alayk, ya Habiba Llah salamun ‘alayk Dagmaun jo halaat ke samne, aey tera tasawur mujhe thamne Meri khushqismati main tera ummati, meri khushqismati main tera ummati Ya RasulaLlahi salamun ‘alayk, ya Habiba Llah salamun ‘alayk Mera kya kar sakegi bhambar mein bala naaz aap par ya Habib e khuda Aap ka naam lete hi bera mera Doobte doobte hi sambhal jaega Ya RasulaLlahi sala...

huzoor aajiz nikamey aaye

huzoor aajiz nikamey aaye qabool howe salaam aqa (salla Llahu alayhi wa sallam) salaam do jag de taajdara salaam khayr ul anaam aqa naa maal o zar da na aqlaan shaqlan na aarzoo da tareeqa koi dobara aawan di aas le ke kharre ne dar te ghulaam aqa asan gunahgaar gandeya mandeya nun roz mahshar tera sahara ghulaman nun yaad rakhna aqa (jis dam pilao kausar de jaam aqa tere siwa teri baargah wich asan nikameyan nun koun jaane aethe jibril warge karde ghulamiyan subh o shaam aqa tere daware ton hath ke shaha sajjan nun mangan da wal nai aunda main aal teri da haan gadagar huzoor mangda nai aam aqa

Abhi jibril utre

Abhi jibril utre bhi na the kaabe ke mimbar se Ke itne mein sada aai yeh ‘Abdu Llah ke ghar se Abi-l-qasim Muhammad Mustafa tashrif le aye (sallalahu ‘alayhi wa sallam) Utho taazim ko mehboob-e-rabbul ‘alamin aye Farishton ki salami dene wali fauj gaati thi Janab-e-Amina sunti thin yeh awaaz ati thi

Ya Nabi salam ‘alayka (urdu-arabic mix)

Tala al-Badru ‘alayna min thani aatil wada wajaba sh-shukru ‘alayna mada aa lil lahi da’a’i Ya Nabi salam ‘alayka Ya Rasul salam ‘alayka Ya Habib salam ‘alayka salawatuLlah ‘alayka Aap ka tashreef lana waqt bhi kitna suhana jagma utha zamana poore gaatihi tarana Ya Nabi salam ‘alayka Ya Rasul salam ‘alayka Ya Habib salam ‘alayka salawatu Llah ‘alayka Katra katra darya darya dharra dharra tara tara jab hua Sarkar paida Sara aalam kah raha tha Ya Nabi salam ‘alayka Ya Rasul salam ‘alayka Ya Habib salam ‘alayka salawatu Llah ‘alayka Itna karam shahe zaman ho khali rooh se badan ho Aap ke shahr ka kafan aur Madine mein dafan ho Ya Nabi salam ‘alayka Ya Rasul salam ‘alayka Ya Habib salam ...

Ae biyaban e Arab

ae biyaban-e-‘arab teri baharon ko salaam tere phulon ko tere pakiza kharon ko salaam jabl-e-noor o jabl-e-saur aur unke gharon ko salaam noor barsaate paharon ki qitaaron ko salaam jhoomte hain muskuratein hain mughiran-e-arab khoobsoorat wadiyon ko reg-guzaron ko salaam raat din rahmat barasti hai jahan par jhoom kar un tawaf-e-kaaba ke rangeen nazaron ko salaam jo musalman kaba ka karte hain tawaaf unke balke sare hi sajdah guzaron ko salaam sang-e-aswad baab-o-mizaan woh muqaam-e-multazam aur ghilaf-e-kaaba ke rangeen nazaron ko salaam mustajaro mustajabo bir-e-zamzam aur mataaf aur hateem-e-paak ke dono kinaron ko salaam rukn-e-shaami aur iraqi aur yamani par darood jagmagate noor barsate minaaron ko salaam khoob choomein hain qadam saur-o-hira ne shah ke mehke mehke pyaare pyaa...

Tere dar ki fizaon ko salam

Ya Rasoolallah, Tere Dar Ki Fizaon Ko Salaam Gumbade Khadra Ki Thandi, Thandi Chaon Ko Salaam Walhana Jo Tawafe Rozae Anwar Karein Masto Be Khud Wajd Mein Aati Hawaon Ko Salaam Jo Madiney Ki Gali Kuchon Mein Detey Hain Sada Ta Qayamat Un Gadaon Aur Faqiron Ko Salaam Mangtey Hain Jo Wahan Shahon Gada Bey Imtiyaz Dil Ki Har Dharkan Mein Shamil Un Duaon Ko Salaam Kaa達ae, Kaa達ah Ke Khush Manzar Nazaron Par Durood Shahre Battuha Ke Daro Diwar Par Lakhon Durood Masjide Nabawi Ki Subho Aur Shamon Ko Salaam Jo Parha Karte The Ro-Ro Kar Tere Darbar Mein Pesh Karte Hain Yeh Aasi Un Salaamon Ko Salaam Ya Ilahi Sadqae Aaley Rasool Yeh Salaame Aajzaana Ho Qubool Assalatu Wassalaamu Alaika Ya Rasoolallah (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) Assalatu Wassalaamu Alaika Ya Habiballah

Tum par lakhon salaam

Tum par lakhon salaam tum par lakhon salaam. Sab se Aala izzat wale, Ghalba-o-qahr-o-taaqat wale Hurmat wale karamat wale tum par laakhon salaam. Tum par lakhon salaam tum par lakhon salaam. Aap ka chaha Rab ka chaha, Rab ka chaha Aap ka chaha Rab se aisi chahat wale tum par laakhon salaam. Tum par lakhon salaam tum par lakhon salaam. Arshe ula par Rab ne bulaya, apna jalwaye khaas dikhaya Rab se aisi qurbat wale tum par laakhon salaam. Tum par lakhon salaam tum par lakhon salaam. Rab ke pyare rajdulhre, hum hai tumhare tum ho humare Aye daamaan-e-Rehmat wale tum par laakhon salaam. Tum par lakhon salaam tum par lakhon salaam. Khwaab me jalwa apna dikho Noorie ko tum Noorie banao Aye chamkeeli rangat wale tum par laakhon salaam.

Ay HabeeB E Ahmed E Mujtaba Dil E Mubtala Ka Salam Lo

Ay HabeeB E Ahmed E Mujtaba Dil E Mubtala Ka Salam Lo Jo Wafa Ki Raah Me Kho Gaya Usi Gum Shuda Ka Salam Lo Mai Talab Se Baaz Na Aaunga Tu Karam Ka Haath Badhaye Ja Jo Tere Karam Se Hai Aashna Usi Aashna Ka Salam Lo Meri Haazri Ho Madine Me Mile Lutf Mujh Ko Bhi Jine Me Tera Noor Ho Mere Seene Me Meri Iss Duaa Ka Salam Lo Koi Mar Raha Hai Bahisht Par Koi Chahata Hai Najaat ko Mai Tujhi Ko Chahu Khuda Kare Meri Is Duaa ka Salam Lo Wo Hussain Jisne Chidak Ke Khun Chaman E Wafa Ko Hara Diya Usi Jaa(n) Nisaar Ka Wasta Ke Har Ik Gada Ka Salam Lo Tamam Auliya Ke Buland Sar Hai Qadam Pe Jinke Jhuke Huve Usi Pyare Ghous Ka Wasta Ke Har Ik Gada Ka Salam Lo Yehi Roz O Shab Hai Duaa Meri Ke Maru To Tere Dayaar Me Yahi Mud-dua E Hayat Hai Isi Mud-dua Ka Salam Lo

Ya RasulaLlahi salamun ‘alayk

Ya RasulaLlahi salamun ‘alayk, ya Habiba Llah salamun ‘alayk x 2 Anta shams ud-Duha, anta Badr ud-Duja Anta sadr ul-‘ula, anta noor ul-‘ula Ya RasulaLlahi salamun ‘alayk, ya Habiba Llah salamun ‘alayk x 2 Main to kya cheez houn, baadshah tajwar x 2 tere darbaar ki jaaliyan thaam kar Karte hain raat din iltijaein yehi maangte raat din hain duaein yehi Ya RasulaLlahi salamun ‘alayk, ya Habiba Llah salamun ‘alayk x 2 Dagmaun jo halaat ke samne, aey tera tasawur mujhe thamne x 2 Meri khushqismati main tera ummati, meri khushqismati main tera ummati Ya RasulaLlahi salamun ‘alayk, ya Habiba Llah salamun ‘alayk x 2 Mera kya kar sakegi bhambar mein bala naaz aap par ya Habib e khuda Aap ka naam lete hi bera mera Doobte doobte hi sambhal j...

Assalamu alayka (arabic version Maher Zain)

رقت عيناي شوقاً .. ولطيبة ذرفت عشقاً فأتيت إلى حبيبي .. فاهدأ يا قلب ، ورفقاً صل على محمد Raqqat ‘ainaya shawqan, wa li Taibata tharafat ‘ishqan Fa’ataytu ila habibi, fahda’ ya qalbu wa rifqan Salli ‘ala Muhammad My eyes are full of longing And they’ve shed tears due to missing Taiba So I came to (visit) my beloved Calm down, my heart, and be gentle! Send salutations upon Muhammad السلام عليك يا رسول الله .. السلام عليك يا حبيبي يا نبي الله السلام عليك يا رسول الله .. السلام عليك يا حبيبي يا نبي الله يا رسول الله Assalamu alayka ya Ya Rasool Allah Assalamu alayka ya habibi Ya Nabiyya Allah Assalamu alayka ya Ya Rasool Allah Assalamu alayka ya habibi Ya Nabiyya Allah, ya Rasool Allah May salutations be sent upon you O Messenger of Allah May salutations be sent upon you O my Beloved O Prophe...

Us Hussain ibn e Haidar pei lakhoun salam

Us Hussain Ibn e Haidar (radi Allahu ‘anhum) pei lakhoun salam Kar liya nosh jis ne shahdat ka jaam Jis ko Dhoke se Koufe bulaya geya Jis ke bachoen ko Pyasa rulaya geya Khanjar zulm jis par chalaya geya Us ki kamil shahadat pei lakhoun salam Jis ne haq Karbala ka aada kar diya Jis ne Nana ka wa’ada wafa kar diya Jis ne kumbe a kumba fida kar diya Baadshah-e-sakhawat pei lahkoun salam Jis ko ummat ka gham hi satata raha Ashq gharoun mein jo bhi bahata raha Jo muqaddar hamare banata raha Us ki sab se a’al-o-ishrat pei lakhoun salam Jis ke shohar par khanjar chalaya geya Jis ke bethe ko khoun mein nalaya geya Jis ki bethi ko qaadi banaya geya Us khatoon-e-qayamat pei lakhoun salam Samne jis ke Akbar zibaah ho geye Goad mei jis ke Asghar tarapte rahe Jis ko ummat ne teeroun ka tohfa diy...

Sultan e Karbala

Sultan e Karbala ko hamara salam ho Janan e Mustafa (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) ko hamara salaam ho. Abbas e namdaar hain zakhmoon say choor choor Us paikar e riza ko hamara salaam ho. Akbar say nojwaan bhi run mein huey shahid Hum shaklay Mustafa (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) ko hamara salam hoo. Bhai bhateejay bhanjay sab ho gaye nisaar Har lal e bay baha ko hamara salaam ho. Asghar ki nanhi jaan pay lakhoon darood houn Mazloom o bay khata ko hamara salaam ho. Ho kar shaheed qoum ki kishti tyra gaye Ummat kay nakhuda ko hamara salaam ho. Nasir wilaye shah mein kehta hai bar baar Mehman e Karbala ko hamara salaam ho. Sultane Karbala Ko Hamara Salam Ho Jaanaane Mustafa (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) Ko hamara Salam Ho.  

  • 1
  • 2