X
    Categories: Urdu Lyric

Hammay Apna Woh (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) Kehtey Hain

Hammay apna Woh (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) kehtey hain, Muhabbat ho tou aise ho
Hammay nazrou may rakhtey hain, Inaayat ho tou aise ho

Woh (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) pathar maarne waalo ko detay hain dua aksar
Koi lao misaal aise, sharaafat hou tou aise ho

Ishaara jab Woh (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) famaey, tou pathar bol uthtay hain
Nabuwwat ho tou aise ho, Risaalat hou tou aise ho

Wahaaa mujrim ko milti hain pahaei bhi jazaein bhi
Madiney may jo lagti hay, adalat ho tou aise ho

Maire Aqa (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) ki wilaadat per huwey sab ko ata detey
Issey milaad kehtey hain, wilaadat ho tou aise ho

Namaz-e-Asr ko qurbaan ker kay Un (salla Llahu ‘alayhi wa sallam)) ki hasti per
Ali Maula (radi Allahu ‘anhu) ne batlaaya, ibaadat ho tou aise ho

Namaz-e-Asr ko qurbaan ker kay Un (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) kay chahrey per
Ali Maula (radi Allahu ‘anhu) ne batlaaya, ziyaarat ho tou aise ho

Hussain ibne Ali (radi Allahu ‘anhu) ne karbala may ye kiya saabit
Rahe jaari jo nayzey per, tilaawat ho tou aise ho

 

Shujahat Ali:
Related Post