X
    Categories: Urdu Lyric

Namey Muhammad Salley Ala, Ankhon Ki Thandak Dil Ki Jila

Namey Muhammad (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) Salley Ala, Ankhon Ki Thandak Dil Ki Jila
Aao Unka Zikr Karein, Jo Hai Dafa-aey Ranjo Bala

Jin Ko Unka Qurb Mila Hai, Ban Gaye Hadi-o-raah Numa
Sab Par Unki Chashme Karam Hai, Wah Re Shaane Judo Sakha

Namey Muhammad (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) Salley Ala, Ankhon Ki Thandak Dil Ki Jila
Aao Unka Zikr Karein, Jo Hai Dafa-aey Ranjo Bala

Dekh Ke Apni Farze Amal Ko, Aasi Jab Sharmaen Gey
Ummat Se Kuch Pyar Hai Aisa, Khud Woh Karam Farmaen Gey

Namey Muhammad (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) Salley Ala, Ankhon Ki Thandak Dil Ki Jila
Aao Unka Zikr Karein, Jo Hai Dafa-aey Ranjo Bala

Un Par Apna Tan Man Warun, Warun Husne Kouno Makaa’n
Haasil Unke Sadqey Mein Hai, Izzat-o-azmat Naam-o-nishan

Namey Muhammad (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) Salley Ala, Ankhon Ki Thandak Dil Ki Jila
Aao Unka Zikr Karein, Jo Hai Dafa-aey Ranjo Bala

Mehfiley Naat Ki Baat Na Pucho, Khud Woh Karam Farmatey Hain
Jin Pe Karam Hota Hai Unka, Unke Din Phir Jate Hain

Namey Muhammad (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) Salley Ala, Ankhon Ki Thandak Dil Ki Jila
Aao Unka Zikr Karein, Jo Hai Dafa-aey Ranjo Bala

Unki Bhik Pe Sab Paltey Hain, Unke Mungtey Shahon Gada
Dar Se Koi Khali Na Lauta, Daata Ki Yeh Shaane Ata

Namey Muhammad Salley Ala, Ankhon Ki Thandak Dil Ki Jila
Aao Unka Zikr Karein, Jo Hai Dafa-aey Ranjo Bala

Jab Koi Mushkil Pesh Aai Hai, Dil Ne Unko Pukara Hai
Anjum Apna To Yeh Yaqin Hai, Unka Karam Ho Jata Hai

Namey Muhammad (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) Salley Ala, Ankhon Ki Thandak Dil Ki Jila
Aao Unka Zikr Karein, Jo Hai Dafa-aey Ranjo Bala

 

Shujahat Ali:
Related Post