Darpesh ho taiba ka safar kaisa lage ga
Guzrain jo wahan shaam o sehar kaisa lage ga
Ae kash madine main mujhe maot youn aye
Kadmoon main ho sarkar (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) ke sar kaisa lage ga
Ae pyare khuda dekhoon main sarkar ka jalwa
Mil jaye dua to jo asar kaisa lage ga
Allah (subhanahu wa ta’ala) karam aisa kare tujh peh jahan main
Ae dawat-e-islami teri dhoom machi ho
Aaqa ka ghada hoon ae jahanum tu bhi sun le
Wo kaise jalle jo ke ghullam-e madni ho
Ae kash main ban jaoon madine ka musafir
Phir rothi huwi taiba ko baraat challi ho
Jab door se hai itna haseen gumbad-e-hazra
Iss paar ye aalum hai udhaar kaisa lage ga
Aa jayen mere ghar main agar rehmat-e-aalim
Main kesa lagoon ga mera ghar kesa lage ga
Taiba ki saadath to youn pathe hain hazaroon
Murshid ka saath ho jo safar kaisa lage ga
Payee Munawar ne kazza dar pe Nabi (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) ke
Aajaye watan aesi habbar kaisa lage ga.