Koi saleeqa hai aarzoo ka, na bandagi meri bandagi hai
Yeh sab tumhara qaram hai aaqa keh baat ab tak bani hui hai
Kissi ka ehsan kyon uthain, kissi ko haalat kyon batain
Tumhein se mangein gey tum hi do gey, tumhare dar se hi loo lagi hai
Ata kiya mujh ko darde-ulfat, kaha thi yeh pur khata ki qismat
Mein iss karam ke kaha tha qabil, huzur ki banda parwari hai
Shoor o fikro nazar ke dairey, had ka in se barh na paain
Na choo sake un balandiyon ko, jaha maqame Muhammadi hai
Tajaliyon ke kafeel tum ho, murad tu ke khalil tum ho
Khuda ki roshan dalil tum ho, yeh sab tumhari hi roshni hai
Bashir kahiye nazir kahiye, unhein siraje munir kahiye
Jo sar ba sar hai kalam-e-rabbi, woh merey aaqa ki zindagi hai
Ammal ki merey asas kiya hai, bajuz nadamat ke paas kiya hai
Rahe salamat tumhari nisbat, mera to ek aasra yehi hai
Hai Qaaba bhi marja-e-khalaiq, bohat numayan hai yeh haqaiq
Magar jo maqsoode-e-aashqi hai, huzur ke dar ki haazri hai
Yehi hai khalid asas rehmat, yehi hai khalid bina-e-azmat
Nabi ka irfan zindagi hai, nabi ka irfan bandagi hai
Yeh sab tumhara qaram hai aaqa, keh baat ab tak bani hui hai