Karaam maangtey hain’ ataa maangtey hain
Madiine ko jaae’n du’aa maangtey hain
Madiine ke waalii (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) Madiine bulaa lo
Madiine main thorhii jagah maangtey hain
Hai shayr-e-Madiinah do’aalam seh pyaara
Jo maskan banaa hai habiib khudaa ka
Hain Ahl-e-Madiinah hamain jaan se pyaarey
Madiinah Madiinah sadaa maangtey hain
Jalaatii hain furqat ki kaalii ghataa’in
Rulaatii hain taybah ki rangeen fazaa’in
Dile muztarib ko kahaan chain aa’ey
Madiine ki thandii hawaa maangtey hain
Nabiyyon ke dulhaa habiib-e-khuda hain
Woh sab ummtoon ke bane paishwa hain
Zamaaney main un kii muhabbat ‘atta ho
Pas-e-marg un ki shafaa maangtey hain
Kalaam-e-khuda hai kalaam-e-Muhammad (salla Llahu ‘alayhi wa sallam)
Salaam-e-khudaa hai salaam-e-Muhammad (salla Llahu ‘alayhi wa sallam)
Muhammad (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) ki surat main haq jalwahgar hai
Muhammad Muhammad (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) khuda maangtey hain
Ilaahii yeh Tahir hai farde yagaanah
Hai bandah tumhaaraa nabii ka diiwaanah
Diiwaney chaley hain jo Tahir ke hamraah
Nigaah-e-habiib-e-khuda maangtey hain
Tere aastaan peh koii jaa rahaa hain
Woh apne muqaddar ko chamkaa rahaa hain
Elaahii dikhaa de Jiilaanii ko taybah
Madiine main ham ghoomnaa maangtey hain