Mere Sarkaar mere ghar ko sajaaney aaein
Dil ki duniya main woh anwaar lutaane aaein
Joh khazaan daar parhaa rotaa hai ik jhoownke ko
Us kii jaanib bhii bahaaron keh zamaane aaein
Shiddat e peyaas hai ik bosyah e paa ki jin ko
Aese peyaason ko bhii diidar karaane aaein
Taab e furqat bhii qiyamat hai mujhe wasl keh baad
Woh mere ghar seh nah jane keh bahaane aaein
Jin keh biimar ho muddat se woh aein ge zuruur
Un kii galiyon seh hawaaein yeh bataane aaein
Jin ki umeed peh tufano main ham kud parhe
Naa khuda kashtiyon ko paar lagaane aaein
Raat bhar yaad sitaaron neh keyaa ro ro kar
Kaash woh chand merii bazm sajaane aaein
Aey Madinay keh musaafir dar e jibriil keh paas
Kehnaa gham khaar seh ham haal sunaane aaein