Islamic Lyrics

woh mah-e-farozan

woh mah-e-farozan woh nayyar-e-taaban mera mustafa hai mera mustafa hai woh bara rabi ul awwal ko aya jo awwal bana hai mera mustafa hai to kya tu ne dekha woh mausam badalna woh pathar zameen par phoolon ka khilna woh arsh-e-ula ka zameen par utarna jo haan utra hai mera Mustafa (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) hai to kya tu ne dekha hai quran ko chalte ke sehra mein jaise darya hon behte woh tareek raaton mein suraj nikalte jo haan nikla hai mera mustafa hai to kya tu ne dekhi hai aisi qabaein ke mah o mahar bhi lein jin se ziayein woh paivand ke jaisi saji kehkashaein jo yeh pehnta hai mera Mustafa hai to kya tu ne dekha woh rahmat ka manzar idhar se dua’ein udhar se hain pathar woh taif ki wadi woh dawar ka dilbar jo tanha kharra hai mera Mustafa hai to kya tu ne dekha woh a...

Ab to bas aik hi dhun hai

Akhri waqt mein kya raunaq e dunya dekhoon Ab toh bas ek hi dhun hai ke Madina dekhoon Isne bhi Madina dekh liya usne bhi Madina dekh liya Sarkar kabhi toh mai bhi kahoon maine bhi Madina dekh liya Ab toh bas ek hi dhun hai ke Madina dekhoon Mainu majburiya te dooriya ne maareyaa Sadh lo Madine Aaqa (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) karo meherbaaniyan Tussaan te hai derra main ton bari door la leya Sadh lo Madine Aaqa Karo Meherbaaniyan Ab toh bas ek hi dhun hai Ke Madina dekhoon Phir karam ho gaya main Madine chala Jhoomta jhoomta main Madine chala Saakiya meh pila main Madine chala Mast o bekhud bana main Madina chala Mere Aaqa ka dar hoga paysh e nazar Chahiye aur kya main Madine chala Ab toh bas ek hi dhun hai Ke Madina dekhoon Ek roz hoga jana Sarkar ki Gali mein Hoga waheen thika...

Ya Imam ar-rusli ya sanadi

Ya Imam ar-rusli ya sanadi, anta babuLlahi mu’tamadi Fa bi dunyaya wa aakhirati ya Rasula Llah khudh biyadi O leader of all Prophets, o you my Support, You are the door to Allah, the one on whom I rely. In this my dunya and in my afterlife,O Messenger of Allah, take me by my hand. Qasaman bi n-Najmi hiina hawa ma l-ma’afaas s-saqeenusawa fakhla’i l-kawnayni ‘anka sawaa, hubbi mawla l-‘urbi wa l-‘ajami An oath was sworn “By the star when it declines”, Good health and sickness are not alike. So divest yourself of the two universes, except for Love for the Master of the Arabs and non-Arabs. Sayyidu s-saa daati min mudari, ghawthu ahli l-badwi wa l-hadri Sahibu l-aayaati wa s-suuri, manba’u l-ahkaami wa l-hikami He is the Master of Masters, from the people o...

Baat to kijiye aur jab kijiye

Baat jo kijiye aur jab kijiye Saath me zikr-e-mehboob-e-rab kijiye Chahatein ho mile, zoq, aansoon bahein Laghw baatoon se bund apne lab kijiye Lo wo minaar o gumbad nazar aa gayein Ab salaam arz sab ba-adab kijiye Qalb-e-tareek par rakh ke apna kadam Chand naa mere mah-e-arab kijiye Dar pe aa kar bikari phire namuraad Ye gawara bala aap kab kijiye Wo nawaze ge khali na loataaye ge Unse haajat hal apni sab kijiye Mar raha hoon gunaahoon ke amraaz se Ik nazar jaan pe jaan balab kijiye Zindagi me hazaaroon safar kar liye Dil ne chaha, na chaha magar kar liye Ab dar-e-mustafa ka safar kijiye Sunke faryaad imdaad ko aagaye Yaad Ubaid-e-Raza unko jab kijiye

Muskura do do alam badal jaega

Muskura do do alam badal jaega Yeh nizame do alam sambhal jaega Ya Nabi (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) Ya Nabi… Aap ae zamana fida hogeya Arsh jhuk kar adab se khara hogeya Lamakan pe bhi shor bhapha hogeya aaj paida habibe khuda hogeya Kyoun manaye na id-e-milad nabi aaj ke din the ae hamare Nabi aisi rahmat karam ki si baad chali asiyon ko kare ik nazr mein wali aaj jhumo ke ae hain khayr ul-bashar aaj gao ke thanda hai rabb ka sahar un ke hote hue ke sadr kya fikr waste hamare kya ji qadr torre qadmoun ko chumo yeh dil ki lagan torre jute uthane ko machle yeh man torre pao dabao kahe mera man shaha kuch to mujhe mere man ki lagan zaate ahmad se dil ko taharat mille dil ko taskin, ruh ko sarawat mille dil lagane se tum ko phir Allah mille woh Muhammad hain unse sab kuch mill...

Ya Rab mere dil me hain tamanna e Madina

Ya Rab mere dil me hain tamanna e Madina In aankho se dikhla mujhe sehraa e Madinah Nikle na kabhi dil se tamanna e Madinah Zar me rahe Ya Rab mere sodha e Madinah Aisa meri nazro me samaa jaaye Madinah Jab aankh uthaoo to nazar aaye Madinah Phirte hain yahaan sindh me hum be sar o saamaan Taiba me bulalo hume Aaqa e Madinah Is dar ke hain mushtaq e ziyaarat meri aankhe Dil se ye nikalti hain sada haaye Madinah Yaad aata hain jab Roza e Purnoor ka Gumbad Dil se ye nikalti hain sada haaye Madinah Main wajd ke ‘aalam me karu chaak ghareebaan Aankho ke mere saamne jab aaye Madinah Quran qasam khaata na us shehr ki har giz Gar hota na wo gul chaman aaraa e Madinah Kyun gor ka khatka ho, qiyamat ka ho kya ghum Shedaa e Madinah hoon mein Shedaa e Madina Bulwaake Madine me Jameel e Razavi k...

Sar se paa tak har adaa hain lajawaab

Sar se paa tak har adaa hain lajawaab Khoobrooyo me nahi Tera jawaab Husn hain bemisal surat lajawaab Me fida Tum Aap ho Apna jawaab Pooche jaate hain amal me kya kahoo Tum sikaa jao mere Maula jawaab Palte hain hum se nikamme beshumaar Hain kahi Us Aastaane ka jawaab Roz e mahshar aik Tera aasra Sab sawaalo ka jawaab e lajawaab Me yad e baydaa ke sadqe Ae Kaleem Par kahaa Un ki Kaf e Paa ka jawaab Kya amal tu ne kiye us ka suwaal Teri rahmat chaahi hain mera jawaab Mehr o maa zare hain Un ki raah ke Kaun de Naqsh e Kaf e Paa ka jawaab Tum se us beemaar ko sehat mile* Jis ko dede Hazrat e Esa jawaab Dekh Rizwaan Dasht e Taiba ki bahaar Meri jannat ka na paaye ga jawaab Shor hain lutf o ataa ka shor hain Maangne waala nahi sunta jawaab Jurm ki paataash paate ahle jurm Ulti baato ka na ho se...

Mahboob ke dar par jaun

Mahboob ke dar par jaun Wo waqt e mubaarak aaye Taqdeer apni chamkaoo, Wo waqt e mubarak aaye Jab paish e nazar ho mere, Minaar o gumbad tere Me ghush khaa kar gir jaoo, Wo waqt e mubarak aaye Phir zair e Gumbad e Khazra, Ro ro ke dast basta Sab haal me Tujh ko sunaoo, Wo waqt e mubarak aaye Dil ko apne samja kar, Deedaar ki aas dilaa kar Ro ro kar me so jaoo, Wo waqt e mubarak aaye Wo khwaab me jalwa dikhae, Ae kash karam farmaye Me qadmo me gir jaoo, Wo waqt e mubarak aaye Hain dil ka Ubaid ye armaan, Phir ban kar Un ka mehmaan Darbaar me naat sunaoo, Wo waqt e mubarak aaye Sarkar ke dar par jaun Wo waqt e mubaarak aaye Taqdeer apni chamkaoo, Wo waqt e mubarak aaye  

Qurbaan me unki bakhshish ke

Qurbaan me unki bakhshish ke Maqsad bhi zabaan pe aaya nahi Bin maange diya aur itna diya Daaman me humaare samaaya nahi Imaan mila Un ke sadqe Quraan mila Un ke sadqe Rahmaan mila Un ke sadqe Wo kya hain jo hum ne paaya nahi Dil bar gaye mangto ke lekin Dene se Teri neeyat na bari Jo aaya usse bar bar ke diya Mahroom koi lotaaya nahi Un ka tho shiaar kareemi hain Ma’il ba karam hi rehte hain Mangto ki hamesha laaj rakhi Mahroom kabhi lotaaya nahi Khursheed e qayaamat ki taabish Maana ke qayaamat hi hogi Hum Unke hain ghabraaye kyun Kya hum pe Nabi ka saaya nahi Us Mohsin e Azam ke to Khalid pe hazaaro ehsaan hain Qurbaan maghar is ehsaan ke Ehsaan bhi kiya to jataya nahin

Paish e haq muzdah shafaat ka sunaate jaaye ge

Paish e haq muzdah shafaat ka sunaate jaaye ge Aap rote jaaye ge hum ko hasate jaaye ge Dil nikal jaane ki jaa hain aah kin ankhon se Wo Hum se pyaaso ke liye darya bahaate jaaye ge Haan chalo hasratzado sunte hain wo din aaj hain Thi khabar jis ki ke Wo jalwa dikhaate jaaye ge Kuch khabar bhi hain faqeero aaj wo din hain ke wo Nemat e Khuld Apne sadqe me lutaate jaaye ge Wusate di hain Khuda ne daaman e Mahboob ko Jurm khulte jaaye ge aur Wo chupaate jaaye ge Aankh kholo ghumzado dekho wo giryaan aaye hain Loh e dil se naqsh e ghum ko ab miaate jaaye ge Sarwar e Deen lijiye Apne naatwaano ki khaar Nafs o shaitaan Sayyeda kab tak dabaate jaaye ge Hashar tak daale ge hum paidaahish e Maula ki dhoom Misl e faaris najd ke qale giraate jaaye ge Khaak ho jaaye aduw jal kar maghar hum to Raza Du...

Muda’a zeest ka mene paaya

Muda’a zeest ka mene paaya Rahmat e Haq ne kiya phir saya Mere Aqa (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) ne karam farmaya Phir Madine ka bulawa aaya Pehle kuch ashk bahaa lu to chalu Ek nayyi naat sunaa lu to chalu Syyedi Anta Habibi Chand taare mujhe dekhe ge Mahpaare bhi mujhe dekhe ge Khud nazaare bhi mujhe dekhe ge Ghum ke maare bhi mujhe dekhe ge Main nazar sab se bacha lu to chalu Ek nayyi naat suna lu to chalu Syyedi Anta Habibi Samne ho jo dar e lutf o karam Me karoo arz ke Ya Shah e Ummam Aagaya aap ka muhtaaj e karam Is gunahgaar ka rakhiye ga bharam Shawq ko arz bana lu to chalu Ek nayyi naat suna lu to chalo Syyedi Anta Habibi Un ki midhat me hain jeena mera Kaise doobe ga safina mera Dekh lo cheer ke seena mera Dil hain ya Sheher e Madina mera Dil Adeeb apna dikha lu to ...

Hirz e jaan zikr e shafaat kijiye

Hirz e jaan zikr e shafaat kijiye Naar se bachne ki surat kijiye Un ke dar pe jaise hain mit jayiye Naatuaano kuch to himmat kijiye Un ke dar par baitiye ban kar faqeer Benawaao fikr e sarwat kijiye Jin ka husn Allah ko bhi bha gaya Aise Pyaare se muhabbat kijiye Naara kijiye Ya RasoolAllah (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) ka Mufliso saamaan e dolat kijiye Hum tumhare ho ke kis ke paas jaaye Sadqa Shehzaado ka rahmat kijiye Aap Sultaan e jahaan hum benawaa Yaad hum ko waqt e nemat kijiye Tujh se kya kya ae mere Taiba ke Chand Zulmat e ghum ki shikaayat kijiye Dar badar kab tak phire khasta kharaab Taiba me madfan inaayat kijiye Phir palat kar mun na is jaanib kiya Such hain aur dawa e ulfat kijiye Uqrabaa hub e watan behimmati Aah kis kis ki shikaayat kijiye Ab to Aqa mun dikhane ka n...