Aa jaaye bulawa mujhe AQA Tere Dar se Jis Dar ki ghulaami ko to jibreel bhi tarse Paidal hi nikalte hain, masaafat ka nahin khauf Thakte hi nahin ham to Madine ke safar se Sunnat pe Teri chalne ka aa jaaye qareena Ye abr-e-karam kaash mere dasht pe barse Zarrah bhi lage gohar-o-almaas se badh kar Dekhe to koii khaak-e-arab meri nazar se Ek main hi nahin taalib-e-jalwa mere AQA! Har ek musalmaan Tere deed ko tarse Naamoos-e-Muhammad ke liye jaan bhi doon ga Ho jaaun ga waaqif main shahaadat ke hunar se Dunya ke faqat chand hi lamhaat the guzre Ho aaye payambar mere sadiyaun ke safar se Jo shaam-o-sahar Salle Alaa kehta rahe ga Aaye ga bulawa usay AQA ke nagar se Kuch khauf nahin mujh ko kadee dhoop ka Amjad Saaya mujhe miltaa hai Risaalat ke shajar se
Subho Meelade Nabi he kya suhana Noor he Agayaa wo noore waala (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) jiska saara Noor he Aankh waalo aawo dekho maahe Tayba ki ziyaa Aasmaan ke chand me to peeka peeka Noor he Tu na hota, to na hota do jahaan ka intizaam Tu zameen ka noor he, tu asmaan ka Noor he Jisne jo kuch Noor payaa sub Tere Sarkaar (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) se Noor ki Sarkaar ka to subse pehla Noor he Jistaraf ko utgayee aalam munawwar hogaye Main Teri Aankho ke Sadqe in me kitna Noor he Mustafa (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) ke noor me he Zaate Baari Jalwa ghar Mustafa (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) ka Noor yoon kehte! Khuda ka Noor he Istaraf bi ek nighahe Noor ale Noorala Me sarapaa ma siyat hoon Tu sarapaa Noor he
Aalam Mein Baraat Rachi Hai Arsh Ka Dulha (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) Aaya Hai Jugmug Jugmug Duniya Saji Hai Arsh Ka Dulha (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) Aaya Hai Arsh Se Utra Noor Khuda Ka Noor Badamaan Saari Duniya Inki Zia Se Ye Chamki Hai Arsh Ka Dulha (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) Aaya Hai Kufur Ki Boo Kafoor Hui Hai Shah-e-Dinaa Ki Aamad Se Khushboo-e-Iman Pehli Hai Arsh Ka Dulha (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) Aaya Hai Khushiyon Ke Fuwaaray Ublay Kaysi Masti Chayi Hai Ghar Ghar Mein Shaadi Utri Hai Arsh Ka Dulha (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) Aaya Hai Nikhre Nikhre Gulshan Saaray Rung Ajab Hain Phoolon Ke Daali Daali Youn Mehki Hai Arsh Ka Dulha (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) Aaya Hai Hoor-O-Ghilmaan Saaray Malaik Jinn-O-Insaan Taabay H...
Wah Kia Jood-o-Karam Hai Shahe Bat-ha Tera Nahin Sunta Hi Nahin MaangnE Waala Tera Mein To Malik Hi Kahoonga Ke Ho Malik Kay Habeeb Ya’nee Mahboob-o-Muhib Mein Nahin Mera Tera Tere Qadmon Mein Jo Hai Ghayr Ka moun Kia Dekhe Kon Nazron Pe Charr-He Dekh Ke Talwa Tera Tere Tukron Pe Pale Ghair Ki Thokar Pey Na Daal Jhirkiyan Khaaye Kahan Chor Ke Sadqa Tera Aik Mein Kia Mere Isi’ayan Ki Haqeeqat Kitni Mujh Say Sou Laakh Ko Kaafi Hai Ishara Tera Farsh Waale Teri Shawkat Ka Ulu Kya Dekhe Khusrawa Arsh Pe Urrta Hai Pharera Tera Teri Sarkaar (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) Mein Laata He Raza Uss Ko Shafe’e Jo Mera Ghaws Hai Aur Laadla Beta Tera
Jo ho chuka hai jo hoga, huzoor jante hain Teri aata say Khudaya, huzoor jaante hain Khuda ko dekha nahin aur eik maan liya Ke jantay thay sahaba, huzoor jantay hein Munafiqoon ka aqeeda woh gaibdaan nahin Aur sahabiyoon ka aqeeda, huzoor (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) jantay hain Aie ilm e ghaib kay munkir Khuda ko dekha hai? Aur tujhay bhi kehna padega, huzoor (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) jante hain Khabar bhi hai? ke khabar sabki hai unhein kab say Ke jab na ab tha na kab tha, huzoor (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) jante hain Kai unke haath mein kya kya tujhe khabar na mujhe Khuda nay kitna nawaza, huzoor (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) jante hain Woh mominoon ki to janoon say bhi kareeb huye Kahan say kisnay pukara, huzoor (salla Llahu ‘alayhi wa salla...
Uchiyan ne shaana sarkaar (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) diyan, Sohne man mohne manthaar (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) diyan Saare Nabi (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) ne mere Nabi (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) toun, thalle thalle Mere Nabi (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) diyan shaanan balle balle Rab sohne ne ay kainat banayi ai Yaar di khathir saari kaydh rachai ai Ghallan bathan saariyan nai piyar diyan Sohne man mohne manthaar diyan Saare nabi ne mere nabi toun, thalle thalle Mere nabi diyan shaanan balle balle Mere te vi keeta karam da saya ay, Main je mandre nu vi seenai laya ay Lajpaaliyan ne sarkaar diyan Uchiyan nay shaanan sarkaar diyan Saare Nabi ne mere Nabi toun, thalle thalle Mere Nabi diyan shaanan balle balle Allah di rehmat da baddal wary...
Gali hondi Madine di Turran da taan mazaa awnda Je baagh honde kajjhian de Phirran da taan mazaa awnda Eh seena Jaali naal honda Sabz Gumbad di chaan hondi Assan muddatan de sarreyaan noon Tharran da taan mazaa awnda Kadi je deed mil jawndi Ohde mazaagh Nainaan di Main dubda roz chup kar ke Tarran da taan mazaa awnda Eh kund walail Zulfa da Hatta chadde je Mukhre ton Deedar-e-Mustafa (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) yaaro Karann da taan mazza awnda Gali hondi Madine di Turran da taan mazaa awnda Je baagh honde kajjhian de Phirran da taan mazaa awnda
Firaaq-e-Madinah mein dil ghamzada hai, Jigar tukray tukray hua ja raha hai. Chura kar Madinah mera chain cheena, Bata nafs-e-zalim tujhe kia mila hai. Meri aankh se cheena taiba ka manzar, Yeh kis baat ka tu ne badla lia hai. Sikhaya hai phir yeh muqaddar ne mujh ko, Na shikwa kisi se na koi gila hai. Rahoon bus isi ghum mein bay chain sarwar, Muqaddar ne jo daagh-e-furqat dia hai. Muqaddar se jis ja rahoon per shaha ho, Nazar mein Madinah meri iltija hai. Mere dil kay armaan rahe dil hi dil mein, Yehi ghum mere dil ko tarpa raha hai. Sukoon tha mujhe Koocha-e-Mustafa (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) mein, Watan mein mera sub sukoon lut gaya hai. Na dunya ki fikrain na ghum tha wahan per, Yahan aa kar dil aafaton mein phansa hai. Na chootay mere haath se un ka daaman, Jiyun jab talak...
Eik ajab lutf is tarah jeene mein hai Main yahaan hoon mera dil Madine mein hai Maut aaye dihaar-e-Nabi (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) mein mujhe Bas yehi eik armaan seene mein hai Main yahaan hoon mera dil Madine mein hai Eik ajab lutf is tarah jeene mein hai Main yahaan hoon mera dil Madine mein hai Jis se sharmaaye khushboo-e-baagh-e-janna Woh mehek rooh-e-parwar paseene mein hai Main yahaan hoon mera dil Madine mein hai Eik ajab lutf is tarah jeene mein hai Main yahaan hoon mera dil Madine mein hai Chahta hoon jo Naazir madawa-e-gham Woh Nabi (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) ki mubarak kareemi mein hai Main yahaan hoon mera dil Madine mein hai Eik ajab lutf is tarah jeene mein hai Main yahaan hoon mera dil Madine mein hai
Charche hain yehi ghar ghar, Eidon ki hai eid aayi, Aaye hain Nabi Sarwar (salla Llahu ‘alayhi wa sallam), Eidon ki hai eid aayi, Kiya koonch hawaaon ne, Di khabar fizaaon ne, Badle hai sabhi manzar, Eidon ki hai eid aayi, Charche hain yehi ghar ghar, Eidon ki hai eid aayi, Aaye hain Nabi Sarwar (salla Llahu ‘alayhi wa sallam), Eidon ki hai eid aayi, Kaha baagh bahaaron ne, Sayyaar sitaaron ne, Kehte hain hain shams-o-qamar, Eidon ki eid aayi, Charche hain yehi ghar ghar, Eidon ki hai eid aayi, Aaye hain Nabi Sarwar (salla Llahu ‘alayhi wa sallam), Eidon ki hai eid aayi, Rahmat ka phera huwa, Sab door andhera huwa, Gayi raat aur aayi sahar, Eidon ki eid aayi, Charche hain yehi ghar ghar, Eidon ki hai eid aayi, Aaye hain Nabi Sarwar (salla Llahu ‘alayhi wa sallam), E...
Dunya te aaya koi Teri (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) na misaal da Main lab ke le awan kithon, sohna tere naal da Makke rehan waleya, Madine aun waleya Thaddey khawan waleyan noon seene lawan waleya Tere bina diggiyan noon koi nah sanbhalll daa Mukh teraa noor wande, saarii kaenaat noon Rabb wee durood bhejay, teri paak zaat noon Har paase charcha, tere husn-o-jamaal daa Shaan niraali teri, zaat teri aali ey Bhar de Tu jholi ajj, jedi jedi khaali ey Mangta Niazi tere thon, sadqa teri aal daa Teriyan te siftaan da koi wee hisab nai Toon te kithe terayan ghulaman da jawaab nai Horaan tey roop wandan Habshi Bilaal daa Dunya te aaya koi Teri na misaal da Main lab ke le awan kithon, sohna tere naal da
Do jag de wich hoye ujaale, Aaye Muhammad (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) rehmatan waale Rehmatan waale, barkatan waale Aaye Muhammad (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) rehmatan waale Hooran rall mill wekhan aayan, Amina (radi Allahu ‘anha) taan iih wehrre wadhayan. Khullan bahishtan de ajj taale, Aaye Muhammad (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) rehmatan waale. Rehmatan waale, barkatan waale Aaye Muhammad (salla Llahu ‘alayhi wa sallam)rehmatan waale Aaqa (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) jalwa-paak wikhao, Mukhre ton kamli nu hattao. Khullan raaz Muzamil waale, Aaye Muhammad (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) rehmatan waale. Rehmatan waale, barkatan waale Aaye Muhammad (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) rehmatan waale Wekh ke khalqat hoi deewani, Pyari py...