Islamic Lyrics

Hai Kalaam-E-Ilahi Me Shams-O-Duha

Hai kalaam e Ilahi me Shamsuz’zuha, Tere chehre Noore Faza ki qasam Qasam e Shab e taar me raaz yeh tha, ke Habeeb ki zulfe duta ki qasam Tere Khulq ko HAQ ne azeem kaha, Teri khilq ko HAQ ne jameel kiya Koee Tujh sa huwa hai na hoga Shaha, Tere Khaliqe husn o ada ki qasam Woh Khuda ne hai martaba tujh ko diya, na kisi ko mile na kisi ko mila Ke Kalaam e majeed ne khaee Shaha, Tere shehro kalamo baqa ki qasam Tera masnade naaz hai Arshe baree, Tera mehrame raaz hai rooh e ameen Tu hi Sarware har do jahaan hai shaha, Tera misl nahi hai Khuda ki qasam Yehi ‘arz hai khaliq e Ard o sama, Woh Rasool hai Tera, mai bandah Tera Mujhe unki jawaar me day woh jagah, ke hai Khuld ko jiski safa ki qasam Tu hi bandaun pa karta hai lutf o ‘Ata, Tujhi pe bharosa hai Tujhi se dua Mujhe Ja...

Ham Dar-E-Aaqa Pay Sar Apna Jhuka Letay Hain

Ham dar-e-Aaqa (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) pay sar apna jhuka letay hain Sach bataana array duniya tera kya letay hain Uss ko aankho pay bithaatay hain zamaane waalay Jiss ko Mehboob e-KHUDA apna bana letay hain Waqt ki kaif nahee hay ye karam ki baatein Jab bhi Sarkaar ki marzi ho bula letay hain Gham kay maarou ka tabeebo na karo koi elaag Ham gham e Ishq-e-Nabi  (salla Llahu ‘alayhi wa sallam)may bhi maza letay hain Patharou tum tou ho pathar magar Aaqa  meray Tum say gar chaheu tou kalma bhi parha letay hain Jab nahi milti kahee say bhi sukooun ki daulat Teri mehfil Teray dewaanay saja letay hain Ye bhi Sarkaar ki rehmat hay karam hay unka Ham jahaa jaey wahaa rang jamaa letay hain Gumbad-e-Khazra  KHUDA tujh ko salaamat rakhay (Aameen) Dekh letay hain Tujhay pyaas bujh...

Aey ishq-e-Nabi meray dil mein bhi sama jaana

Aey ishq-e-Nabi (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) meray dil mein bhi sama jaana Aey ishq-e-Nabi meray dil mein bhi sama jaana Mujh ko bhi Muhammad (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) ka deewanah bana jaana Jo rang keh Jaami par Rumi peh charhaya thaa Lag da ey huney eytay Sarkar ney awna ey Uss rang ki kuch rangath mujh peh bhi charhaa jaana Qudrat ki nighahein bhi jis chehrey ko takthi hein Uss chehra-e-anwar ka deedar karaa jaana Jis khwaab mein ho jaeey deedar Nabi haasil Aey ishq kabhi mujh ko woh neend sulaa jaana Deedar-e-Muhammad (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) ki hasrat to rahe baaqi Juz iss key har ik hasrat iss dil dey mitaa janaa Duniya sey Riyaaz ho jab Uqbaa ki taraf jaana Daagh-e-gham-e-Ahmad (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) sey seeneh ko sajaa jaana  

Gham Hogaye Be Shumar Aaqa

gham hogaye be shumar Aqa (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) banda tere nisar aqa bigra jata hai khel mera aqa aqa sanwar aqa majboor hai ham to fikr kia hai tum ko to hai iqtiyaar aaqa mai dur hoo tum to ho mere paas Sun lo meri pukaar aqa mujh sa koi gham zada na hoga tum sa koi gham gusar aqa manjhdaar pe aake naw tuti de haat ke hoo mai paar aqa halka hai agar hamara palla bhari hai tera viquar aqa tuthi jaati hai pith meri lillah ye boj utar aqa jis ki marzi khuda na taali mera hai wo namodar aqa kiya bhul hai inke hote kaha laiq duniya ke ye tajidaar aqa un ke adni gadha pe mit jaye aise aise haazar aqa itni rahmat RAZA pe karlo la yaqrubu hul bawar aqa  

Ghul Utha Hai Chaar Soo

Ghul utha hai chaar soo, phir Amad e Ramadaan hai Khil uthay mur jhae dil, taza huwa Imaan hai Ya Khuda hum aasiyaun par, yeh bada ehsaan hai Zindagi me phir ata, hum ko kiya Ramadaan hai Tujh pay sadqe jaoon Ramadaan! Tu Azeemush shaan hai Ke Khuda ne tujh me hi, Nazil kiya Qur’an hai Abre Rehmat chaa gaya hai, aur sama hai noor noor Fazle Rab se maghfirat ka, ho gaya samaan hai Har ghadi Rehmat bhari hai, har taraf hai Barkatein Mah e Ramadaan Rehmataun aur Barkataun ki kaan hai Agaya Ramadaan, Ibadat par kamar bandh lo Faiz le lo jald ke, din tees ka mehmaan hai Aasiyaun ki maghfirat ka, lekar aya hai paighaam Jhoom jao mujrimo! Ramadaan me ghufraan hai Bhaiyo Behno karlo, gunahaun se tauba ke ab Pad gaee dozakh pay, taalay qaid me shaitaan hai Sunnate sab jhoom kar, apnate jao bh...

Fazl-E-Rabbul Ula

Fazl-E-Rabbul ula aur kya chaahi-ay Mil ga-ay Mustafa (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) aur kya chaahi-ay Daaman e mustafa jiss kay haathon mayn he Uss ko roz e jaza aur kya chaahi-ay Gumbad e sabz khuabon mayn aanay laga Haazri ka sila aur kya chaahi-ay Bheek kay saath hii un kay darbaar say Mil rahii he dua aur kya chaahi-ay Yay jabeen aur riyaaz ul jannah ki zameen Ab qaza kay siwa aur kya chaahi-ay Hesikandar sana khuan shaah e umam Izzat o martaba aur kya chaahi-ay  

Faisla Nabi Ka Hai

Faisla Nabi (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) ka hai Sunni bakhshe jaenge Garmee Qayamat se hum najaat Paenge Jitne hai a’ado Pyare Sarware do Alam (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) ke Atish e jahannam me woh jalae jaenge Noor se chamak uthee bil-yakheen lahad meri Qabr me mere Aqa (salla Llahu ‘alayhi wa sallam)muskurate aaenge Roze hashr kauthar ka jaam apni ummat ko Apne Daste Aqdas se Mustafa (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) pilate jaenge Inka Dar pe janay ka gar sharf mila hum ko Naat e Mustafa nadim hum sunate jaenge.  

Ey Imam Ahmad Raza

Tu ne batil ko mitaya hai imam ahmed raza deen ka danka bajaya hai imam ahmed raza dour-e-batil aur zalalat hind me tha jis ghadi tu mujadded ban ke aaya ae imam ahmed raza ahle sunnat ka chaman ujda huva veeran tha pheer utha tu jab ke aaya ae imam ahmed raza tu ne baatil ko mita kar deen ko baqshdi jila sunnato ko phir jilaya ae imam ahmed raza ae imam ahle sunnat naibe shahe umam kijiye ham par bhi saya ae imam ahmed raza hashr tak jari rahega faiz aqa aap ka faiz ka dariya bahaya ae imam ahmed raza  

Eid-e-Nabawi Ka Zamanah

Eid-e-Nabawi (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) ka zamanah aa gaya lab peh khushiyon ka tharana aa gaya har sitarey ko mili hai roshani har kali ko muskurana aa gaya har tharaf Salli ‘ala ki dhoom hai wajd mein sara zamana aa gaya parcham deen Muhammad (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) ho buland kafir ko gardan jukana aa gaya kyun na ho qismat key maron paas rehmat ka khazana aa gaya Aaj chamkado dar-o-deewar ko aashiqon ka din suhana aa gaya Shaad hunton peh hai naat Mustafa (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) haath bakhshish ka bahanah aa gaya  

Ey Mowla Ik Baar Dikhadey

Aey Mawla, ik baar dikhadey Jalwa Kamli waley (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) ka Tan man wara jis ney deykha chehra Kamli waley ka Ghaus Qutb Abdaal Kalandar, sab Unkey gun gaathey hai Farshain zameen par arshay bareen par, charcha Kamli waley ka Qabr mey jab poonchein gey farishtey apna ta’ruf peysh karo Tho keh dun ga unsey, keh mey hun mangta pyaray Aqa ka Har neymat deyta hai Khuda, par waar keh Un par deta hai Khataa hai alam sara sadqah Kamli waley ka Ho gi talab meri yeh puri, duur woh karein gey wo duuri Insha’Allah ham deykhein gey Rowza Kamli waley ka  

Dilon Kay Gulshan Mehek Rahay Heyn

Dilon kay gulshan mehek rahay heyn yay kef kyun aaj aa rahay heyn Kuchh esa mahsoos ho raha he huzur tashreef laa rahay heyn Nawazishon par nawazishayn heyn inaayaton par inayatayn heyn Nabi (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) ki naatayn suna suna kar ham apni qismat jaga rahay heyn Kahiin pay ronaq he mekashon ki kahiin pay mehfil he dil jalon ki Wo kitnay khush bakht heyn jo apnay Nabi (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) ki mehfil saja rahay heyn Na paas pi ho to soona saawan wo jiss say raazi wohi suhaagan Jinhon nay pakra nabi ka daaman unhi kay ghar jagmaga rahay heyn Khaan ka mansab kahaan ki dolat qasam khuda ki yay he haqiqat Jinhayn bulaya he mustafa nay wohi madinay ko ja rahay heyn Habeeb e daawar ghareeb parwar Rasool e akram karam kay pekar Kisi ko dar pay bula rahay heyn ...

Dildaar Barhe Aa’ey

Dildaar barhe aa’ey mahboob barhe dekhey Jo dekhey sabhii un keh qadmon main parhe dekhey Sardaare do ‘aalam (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) ki ta’ziim keh kiyaa kehne Mursal bhii sabhii jin ki raahon main karhe dekhey Yaad un keh Madiinah ki jab dil main utar aai Palkon keh kinaaron pih moti seh jurhe dekhey Mahboob ki midhat main hai taab sukhan kis ko Sab ahle sukhan main ne hairat main garhe dekhey Un jaisaa Zuhurii ab aaey gaa nah duniya main Dildaar barhe aa’ey mahboob barhe dekhey