Ankhouen mein bas geya hai Madina huzoor (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) ka Be kas ka aasera hai Madina huzoor ka Phir ja rahe hai ahle Mohabbat ke qafle Phir yaad aa raha hai Madina huzoor ka Nabiyouen mein jaise afzal-o-A’ala hai mustafa Sherouen mein baadshah hai Madina huzoor ka Jab se qadam pare hai risalat ma’aab ke Jannat se bar geya hai Madina huzoor ka Har zara zara apni jagga ma’ahataab hai Kya jagma’ga raha hai Madina huzoor ka Qudsi bhi chumthe hai addab se yahan ki khaaq Qismat mein jhometha hai Madina huzoor ka Ho naaz kyoun na is ko Neyazi naseeb par Jis ko bhi mil geya hai Madina huzoor ka
Aqa (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) bachalo is aasi ko jo duba huva hai gunaho me ab aap hi ise bachana ya Rasula Llah (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) mai qatakaar hoo mai gunahgaar hoo mai siyakar hoo mujh bad ko aap hi bachana ya Rasula Llah (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) tum malik-o-muqtaar ho jise chahe jo chahe use ataa karde meri bhi jholi bhardena ya Rasula Llah (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) mere bad aamal ke sabab mujh par azab ho jab qabr me mujhe tum bachane aana ya Rasula Llah (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) sunta hoo logon se ke aqa ghar tashrif laye qaab me mere qaab me bhi tum aana ya Rasula Llah (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) tere dar ki haazri ke liye kab se hoo shaha betab mujhe dar pe tum bulana ya Rasula Llah (salla Llahu ‘al...
Madine ki Azmath Madine ke jalwe Madine ke charche Madine ka manzar ALLAHUAKBAR ALLAHUAKBAR Madine ki baatein Madine ki raatein Yahaan to rahte hain mere payambar (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) Jo hai saare aalam ke Sarwar Isliye hai Taiba kitna munnawar ALLAHUAKBAR ALLAHUAKBAR Kitna hai pyara pyara Madina Ise Rab ne kitna sawara Madine ki azmath ke mai sadqe jawaan Isme rahte hai mere payambar ALLAHUAKBAR ALLAHUAKBAR Madine ka wo pyara manzar Waha ke phool aur wahaan ke kankar Wahaan ka farsh aur minar-e-anwar Aur waha ka Mihrab-o-Mimbar ALLAHUAKBAR ALLAHUAKBAR Na koi zar hai Na koi par hai chala bhi jaata nahi hai mujh se Phir aa’un kaise tumhare Dar par ALLAHUAKBAR ALLAHUAKBAR Gumbade Khizra ke pyare nazare Wahaan ki galiyaan wahaan ke raste Wahaan ki diwarein wahaan ke jal...
Aey Sabz Ghumbad Waale Manzoor Dua Karna Jab Waqte Naza Aaey Didaar Ata Karna Aey Noorey Khuda Aakar, Aankho Mei Sama Jaana Ya Dar Pe Bula Lena, Ya Khwaab Mei Aa Jaana Aey Pardaah Nashi Dil Ke, Parde Mei Raha Karna Mehboobe Ilaahi Sa, Koi Na Hasin Dekha Yeh Shaan Hai Unki Ke, Saayaah Bhi Nahi Dekha Allah Ne Saaey Ko, Chaaha Na Juda Karna Maí Qabr Andheri Mei, Ghabraa-Unga Jab Tanha Imdaad Ko Meri Tum, Aa Jaana Zara Shaaha Roshan Meri Turbat Ko, Lillaah Zara Karna Mujrim Hu Jahaa Bhar Ka, Mehshar Mei Bharam Rakhna Ruswaaey Zamaana Hu, Aaqa Kamli Mei Chupa Lena Maqbool Dua Meri, Mehboobe Khuda Karna Chehre Se Ziya Paai, Sab Chaand Sitaaro Ne Is Dar Se Shifa Paai, Dukh Dard Ke Maaro Ne Aata Hai Unhe Sabir, Har Dukh Ki Dawa Karna
Ban ker faqeer jao, Sarkaar (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) ki galli may Dil ki muraad pao, Sarkaar ki galli may Aisa kareem koi tujh ko na phir millay ga Baithay raho gadao, Sarkaar ki galli may Jannat may rehnay waali, huurou say koi keh day Aik tum bhi ghar banao, Sarkaar ki galli may Kis kis ko may bataou, khud ja kay koi daikhay Jannat ka der khulla hay, Sarkaar ki galli may
Ban kay Noor e Khuda, Mustafa (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) aagaey Marahaba Marhaba, Marhaba Marhaba Mustafa aagaey Marhaba Marhaba Mustafa aagaey Ujri dunya thi AAqa ney aabaad ki Her taraf dhuum Unkay hay Meelaad ki Sab kay Mushkil kusha, Mustafa aagaey Marahaba Marhaba Mustafa aagaey Marahaba Marhaba Mustafa aagaey Ho gaey Nuur dunya kay zulmat tallay Jin kay aanay say Mao ko baytay millay Sarwar-e-Ambiyaa Mustafa aagaey Marahaba Marhaba Mustafa aagaey Marahaba Marhaba Mustafa aagaey Ban kay Noor e Khuda, Mustafa (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) aagaey Marahaba Marhaba Mustafa aagaey Arsh per Jashan Jin ka manaaya gaya Sab Rasulon ko jiss may bulaaya gya Haa wohi Dil Ruba Mustafa aagaey Marahaba Marhaba Mustafa aagaey Ban kay Noor e Khuda, Mustafa (salla Llahu ‘alayhi...
Taybah ki hai yaad aayee ab ashk bahaanay do Mahboob nay aanaa hai rahoon ko sajaanay do Mushkil ho agar meyra Taybah main abhii jaanaa Aey baad – e – sabaa merii aa – hoon ko to jaanay do Mey teri ziyaarat kay qaabil to naheen maanaa Yaadoon ko shahaa apnii khaabon main to aanay do Ashkoon kii larhii ko ab tutaney mat deynaa Aaqa kay liye muj koh kuch haar bananay do Jo chaaho sazaa deynaa mehbuub kay darbaano Ik baar to jaalii ko siinaay say lagaanay do Mahboob kay qaabil yeh alfaaz kahaan saaim Ashkoon kii zubaan say ab ik naat sunaanay do Lagta nahin dil mayra ab in weeraanon mayn Chota sa ghar mujh ko teba mayn bananay do Roko na mujhay ab to dar e yaar kay darbaano! Mahboob ki jaali ko seenay say laganay do
Khusrawi achi lagi na, sarwari achi lagi Ham faqiroon ko Madine ki galli achi lagi Door they to zindagi be rang thi be-kaif thi Un ke kuchey main ga’ey to zindagi achi lagi Main na jaun ga kahin bhi, dar Nabi ka chaur kar Mujh ko ku’ey Mustafa (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) ki chakari achi lagii Naaz kar tu aey Halima sarwar-e-kownain par Gar lagi achii to teri jhownparhi achi lagii Rakh diye sarkaar ke qadmoun pe sultanon ne sar Sarwarey kown-o-makaan kii saadgii ach-chii lagii Door rah kar astaan-e-sarwar-e-kownain se Zindagi achii lagiina bandagi achii lagii Mahr-o-mah ki roshani maana ke achi hai magar Sabz gunbad ki mujhey to roshani achi lagi Aaj mahfil mein Niyaazi, naat jo maine parhi Ashaqan-e-Mustafa ko woh barhi achii lagi
Pul Say Utaaro Raah Ghuzar Ko Khabhar Na Ho Jibreel Par Bichaaey To Par Ko Khabhar Na Ho Kaantaa Merey Jighar Sat Gham e Rozgaar Ko Yoon Kheench Leeyjiey Kay Jighar Ko Khabhar Na Ho Faryaad Ummatey Jo karay Haal e Zaar Mein Mumkin Nahin Kay Khair e Bashar Ko Khabhar Na Ho Kehtey They Yeh Buraaq Say Uskey Sabaq Raveey Yoon Jaiey Kay Ghard e Safar Ko Khabhar Na Ho Farmaatay Hein Yeh Dono Hein Sardaar e Do jahaa Ay Murtazaa! Ateeq o Umar Ko Khabhar Na Ho Aysa Ghumaa Day Un Key Vilaa Mein Khuda Humein Dhoondhaa Karay Par Apney Khabhar Ko Khabhar Na Ho Aa Dil! Haram Ko Roknay Waalon Say Chup kay Aaj Yoon Uth Chalay Kay Pehlo Wabar Ko Khabhar Na Ho Teer e Haram Hein Yeh Kaheen Rishta Bapaa Na Ho Yoon Daykhiyeh Kay Taarey Nazar Ko Khabhar Na Ho Ay Khaar e Taibah! Daykh Kay Daaman Na Bheekh Jaey Y...
Gunahon ki adat churah meray Mowla, mujhay naik insaan bana meray Mowla Meri saabiqa har khatha meray Mowla, thu Rehmath sey apni mita meray Mowla Thu qudrath say apni badal naikyon sey, har ik meri laghzish khata meray Mowla mujhay naik insaan bana meray Mowla Jo Thuj ko jo Teray Nabi ko pasand hai, mujhay aisa bandhah bana meray Mowla Thu Masjood mera mey saajid hu Tera, Thu Malik mey bandha Tera meray Mowla Thu Matloob mera mey talib hu Tera, mujhay deyday apni wila meray Mowla mujhay naik insaan bana meray Mowla Thu leyga agar adal sey kaam apnay, mey hun mustahik naar ka meray Mowla Thujay waastha Teri Rahmat ka Ya Rabb, jahannam sey mujh ko bacha meray Mowla Jo Rahmath Teri Shah miley haal ho tho, tikana hey jannath mera meray Mowla mujhay naik insaan bana meray Mowla meri tha qiyama...
Madine Ke Waali Do Alam Ke Daata Meri Bhi Soue Taibah Lagai Hai May Mohtaj Hoo Ek Nigahe Karam Ka Tumhare Karam Se Meri Zindagi Hai Hai Wadi e Aiwan Pe Khalique Ki Rehmat Musallam Hai Baitul Muqaddas Ki Azmat Magar Qalb e Muztar Ko Hai Jiski Haajat Woh Sultan e Taibah Tumhari Gali Hai Tumhare Hi tukro Pe Mera Guzara Tumhare Darbar Ka Hoo May Mangta Jo Tumse Na Mangoo To Fir Kis Se Mangoo Tumhara To Saara Gharana Saqi Hai Yahan Reh Ke Jina Hai Marne Se Badtar Wahan Jaake Marne Jine Se Behtar Mayassar Jo Ho Unke Qadmo May Rehkar Wohi Zindagi Asla May Zindagi Hai Mere Aaqa Aao Ke Muddat Hui Hai Teri Rah May Akhiya Bichate Bichate Badi Hasrato Se Badi Chahato Se Bahut Deein Huey Ghar Sajate Sajate Mera Hai Ye Iman Ye Mera Yaqin Hai Mere Mustafa (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) Sa Na Koi H...
Habeeb-e-Khuda (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) ka nazara karoon mein Dilo jaan unpar nisaaraa karoon mein Yeh ek Jaan kya hai agar ho karoro Tere Naam par sab ko waaraa karoon mein Tere Naam par sar ko qurbaan kar ke Tere sar se Sadqe utaara karoon mein Mera Deen-o-Imaan Firishte jo pooche Tumhari hi jaanib ishaaraa karoon mein Khudara ab aawo ke dam he labo par Dame wapasi to nazaara karoon mein Khudaa kher se laye woh din bhi Noori Madine ki galiyan bohaaraa karoon mein Mujhe apni rehmat se to apna karle Siwa Tere sab se kinaaraa karoon mein Mein kyoon ghair ki thokare khane jawoon Tere Dar se apna guzaaraa karon mein Tera Zikr lab par khuda dil ke andar Yunahi zindagani guzaaraa karoon mein Dame wapasi tak tere geet gaoon Muhammad Muhammad (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) phu...