Urdu Lyric

Praises of the Beloved (salla Llahu ‘alayhi wa sallam)

Akhiyan Vich Sohne Mahi Di

akhiyan vich sohne mahi dee tasveer sajayi phirna aa kee jaanan duniya dil vich main kee dard lukaee phirna aa tere naa di maala gal paake saare jag diyan khushia thukraa ke jera dard ditta teri furqat ne seene naal lai phirna aa akhiyan vich sohne mahi dee tasveer sajayi phirna aa kee jaanan duniya dil vich main kee dard lukaee phirna aa tera naam ziyarat thakda nahi kisse ghair valley main takda nahi jis din dee khaak Madine di akhiyan vich paai phirna aa akhiyan vich sohne mahi dee tasveer sajayi phirna aa kee jaanan duniya dil vich main kee dard lukaee phirna aa koi oganhaar nai mere jeya koi parda posh nai tere jeya aese lai teri rahmat te umeed lagaai phirna aa kee jaanan duniya dil vich main kee dard lukaee phirna aa akhiyan vich sohne mahi dee tasveer sajayi phirna aa sanu murshid ...

Ahlan wa Sahlan Marhaba

Ahlan wa Sahlan Marhaba Sallah ’alay ka Ya Rasullal Llah (sallal Llahu ’alayhi wa ’alayhi wa sallam) (x3) Sallah ’alayhi wa Ya Habib baLlah (sallal Llahu ’alayhi wa ’alayhi wa sallam) X2 Ahlan wa Sahlan Marhaba X3 Khush Amedid (x6), Sat Bismillah Ji ayanu (x3) Sallah ’alay ka Ya Rasullal Llah (sallal Llahu ’alayhi wa ’alayhi wa sallam) Sallah ’alayhi wa Ya Habib baLlah (sallal Llahu ’alayhi wa ’alayhi wa sallam) Sarkar ki Amad hai x2, Lajbal ki Amad, Mantar ki Amad hai x2, Lajbal ki Amad hai, Taha ki Amad hai, Yaseen ki Amad hai, Sarkar ki amad hai Sab khushiyaan manao Yaroo, Sarkar ki Amad hai x2, Sab khushiyaan manao yaroo, Sallah ’alay ka Ya Rasullal Llah (sallal Llahu ’alayhi wa ’alayhi wa sallam) Sallah ’alayhi wa Ya Habib baLlah (sallal Llahu ’alayhi wa ’alayhi wa sallam) Ahlan wa Sa...

Aajay Bulawa Mujhe AQA tere dar se

Aa jaaye bulawa mujhe AQA Tere Dar se Jis Dar ki ghulaami ko to jibreel bhi tarse Paidal hi nikalte hain, masaafat ka nahin khauf Thakte hi nahin ham to Madine ke safar se Sunnat pe Teri chalne ka aa jaaye qareena Ye abr-e-karam kaash mere dasht pe barse Zarrah bhi lage gohar-o-almaas se badh kar Dekhe to koii khaak-e-arab meri nazar se Ek main hi nahin taalib-e-jalwa mere AQA! Har ek musalmaan Tere deed ko tarse Naamoos-e-Muhammad ke liye jaan bhi doon ga Ho jaaun ga waaqif main shahaadat ke hunar se Dunya ke faqat chand hi lamhaat the guzre Ho aaye payambar mere sadiyaun ke safar se Jo shaam-o-sahar Salle Alaa kehta rahe ga Aaye ga bulawa usay AQA ke nagar se Kuch khauf nahin mujh ko kadee dhoop ka Amjad Saaya mujhe miltaa hai Risaalat ke shajar se

Ageya Wo Noor Wala

Subho Meelade Nabi he kya suhana Noor he Agayaa wo noore waala (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) jiska saara Noor he Aankh waalo aawo dekho maahe Tayba ki ziyaa Aasmaan ke chand me to peeka peeka Noor he Tu na hota, to na hota do jahaan ka intizaam Tu zameen ka noor he, tu asmaan ka Noor he Jisne jo kuch Noor payaa sub Tere Sarkaar (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) se Noor ki Sarkaar ka to subse pehla Noor he Jistaraf ko utgayee aalam munawwar hogaye Main Teri Aankho ke Sadqe in me kitna Noor he Mustafa (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) ke noor me he Zaate Baari Jalwa ghar Mustafa (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) ka Noor yoon kehte! Khuda ka Noor he Istaraf bi ek nighahe Noor ale Noorala Me sarapaa ma siyat hoon Tu sarapaa Noor he

A’alam Mein Baraat Rachi Hai

A’alam Mein Baraat Rachi Hai Arsh Ka Dulha (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) Aaya Hai Jugmug Jugmug Duniya Saji Hai Arsh Ka Dulha (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) Aaya Hai Arsh Se Utra Noor Khuda Ka Noor Badamaan Saari Duniya Inki Zia Se Ye Chamki Hai Arsh Ka Dulha (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) Aaya Hai Kufur Ki Boo Kafoor Hui Hai Shah-e-Dinaa Ki Aamad Se Khushboo-e-Iman Pehli Hai Arsh Ka Dulha (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) Aaya Hai Khushiyon Ke Fuwaaray Ublay Kaysi Masti Chayi Hai Ghar Ghar Mein Shaadi Utri Hai Arsh Ka Dulha (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) Aaya Hai Nikhre Nikhre Gulshan Saaray Rung Ajab Hain Phoolon Ke Daali Daali Youn Mehki Hai Arsh Ka Dulha (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) Aaya Hai Hoor-O-Ghilmaan Saaray Malaik Jinn-O-Insaan Taab’ay H...

Wah Kya Judo Karam Hai Shahe Bat-ha Tera

Wah Kia Jood-o-Karam Hai Shahe Bat-ha Tera Nahin Sunta Hi Nahin MaangnE Waala Tera Mein To Malik Hi Kahoonga Ke Ho Malik Kay Habeeb Ya’nee Mahboob-o-Muhib Mein Nahin Mera Tera Tere Qadmon Mein Jo Hai Ghayr Ka moun Kia Dekhe Kon Nazron Pe Charr-He Dekh Ke Talwa Tera Tere Tukron Pe Pale Ghair Ki Thokar Pey Na Daal Jhirkiyan Khaaye Kahan Chor Ke Sadqa Tera Aik Mein Kia Mere Isi’ayan Ki Haqeeqat Kitni Mujh Say Sou Laakh Ko Kaafi Hai Ishara Tera Farsh Waale Teri Shawkat Ka Ulu Kya Dekhe Khusrawa Arsh Pe Urrta Hai Pharera Tera Teri Sarkaar (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) Mein Laata He Raza Uss Ko Shafe’e Jo Mera Ghaws Hai Aur Laadla Beta Tera

Huzoor Jaante Hain

Jo ho chuka hai jo hoga, huzoor jante hain Teri aata say Khudaya, huzoor jaante hain Khuda ko dekha nahin aur eik maan liya Ke jantay thay sahaba, huzoor jantay hein Munafiqoon ka aqeeda woh gaibdaan nahin Aur sahabiyoon ka aqeeda, huzoor (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) jantay hain Aie ilm e ghaib kay munkir Khuda ko dekha hai? Aur tujhay bhi kehna padega, huzoor (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) jante hain Khabar bhi hai? ke khabar sabki hai unhein kab say Ke jab na ab tha na kab tha, huzoor (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) jante hain Kai unke haath mein kya kya tujhe khabar na mujhe Khuda nay kitna nawaza, huzoor (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) jante hain Woh mominoon ki to janoon say bhi kareeb huye Kahan say kisnay pukara, huzoor (salla Llahu ‘alayhi wa salla...

Uchiyan Ne Shaana Sarkaar Diyan

Uchiyan ne shaana sarkaar (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) diyan, Sohne man mohne manthaar (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) diyan Saare Nabi (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) ne mere Nabi (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) toun, thalle thalle Mere Nabi (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) diyan shaanan balle balle Rab sohne ne ay kainat banayi ai Yaar di khathir saari kaydh rachai ai Ghallan bathan saariyan nai piyar diyan Sohne man mohne manthaar diyan Saare nabi ne mere nabi toun, thalle thalle Mere nabi diyan shaanan balle balle Mere te vi keeta karam da saya ay, Main je mandre nu vi seenai laya ay Lajpaaliyan ne sarkaar diyan Uchiyan nay shaanan sarkaar diyan Saare Nabi ne mere Nabi toun, thalle thalle Mere Nabi diyan shaanan balle balle Allah di rehmat da baddal wary...

Gali Hondi Madine Di

Gali hondi Madine di Turran da taan mazaa awnda Je baagh honde kajjhian de Phirran da taan mazaa awnda Eh seena Jaali naal honda Sabz Gumbad di chaan hondi Assan muddatan de sarreyaan noon Tharran da taan mazaa awnda Kadi je deed mil jawndi Ohde mazaagh Nainaan di Main dubda roz chup kar ke Tarran da taan mazaa awnda Eh kund walail Zulfa da Hatta chadde je Mukhre ton Deedar-e-Mustafa (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) yaaro Karann da taan mazza awnda Gali hondi Madine di Turran da taan mazaa awnda Je baagh honde kajjhian de Phirran da taan mazaa awnda

Firaaq-e-Madinah Mein Dil Ghamzada Hai

Firaaq-e-Madinah mein dil ghamzada hai, Jigar tukray tukray hua ja raha hai. Chura kar Madinah mera chain cheena, Bata nafs-e-zalim tujhe kia mila hai. Meri aankh se cheena taiba ka manzar, Yeh kis baat ka tu ne badla lia hai. Sikhaya hai phir yeh muqaddar ne mujh ko, Na shikwa kisi se na koi gila hai. Rahoon bus isi ghum mein bay chain sarwar, Muqaddar ne jo daagh-e-furqat dia hai. Muqaddar se jis ja rahoon per shaha ho, Nazar mein Madinah meri iltija hai. Mere dil kay armaan rahe dil hi dil mein, Yehi ghum mere dil ko tarpa raha hai. Sukoon tha mujhe Koocha-e-Mustafa (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) mein, Watan mein mera sub sukoon lut gaya hai. Na dunya ki fikrain na ghum tha wahan per, Yahan aa kar dil aafaton mein phansa hai. Na chootay mere haath se un ka daaman, Jiyun jab talak...

Eik Ajab Lutf Is Tarah Jeene Mein Hai

Eik ajab lutf is tarah jeene mein hai Main yahaan hoon mera dil Madine mein hai Maut aaye dihaar-e-Nabi (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) mein mujhe Bas yehi eik armaan seene mein hai Main yahaan hoon mera dil Madine mein hai Eik ajab lutf is tarah jeene mein hai Main yahaan hoon mera dil Madine mein hai Jis se sharmaaye khushboo-e-baagh-e-janna Woh mehek rooh-e-parwar paseene mein hai Main yahaan hoon mera dil Madine mein hai Eik ajab lutf is tarah jeene mein hai Main yahaan hoon mera dil Madine mein hai Chahta hoon jo Naazir madawa-e-gham Woh Nabi (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) ki mubarak kareemi mein hai Main yahaan hoon mera dil Madine mein hai Eik ajab lutf is tarah jeene mein hai Main yahaan hoon mera dil Madine mein hai

Eidon Ki Hai Eid Aayi

Charche hain yehi ghar ghar, Eidon ki hai eid aayi, Aaye hain Nabi Sarwar (salla Llahu ‘alayhi wa sallam), Eidon ki hai eid aayi, Kiya koonch hawaaon ne, Di khabar fizaaon ne, Badle hai sabhi manzar, Eidon ki hai eid aayi, Charche hain yehi ghar ghar, Eidon ki hai eid aayi, Aaye hain Nabi Sarwar (salla Llahu ‘alayhi wa sallam), Eidon ki hai eid aayi, Kaha baagh bahaaron ne, Sayyaar sitaaron ne, Kehte hain hain shams-o-qamar, Eidon ki eid aayi, Charche hain yehi ghar ghar, Eidon ki hai eid aayi, Aaye hain Nabi Sarwar (salla Llahu ‘alayhi wa sallam), Eidon ki hai eid aayi, Rahmat ka phera huwa, Sab door andhera huwa, Gayi raat aur aayi sahar, Eidon ki eid aayi, Charche hain yehi ghar ghar, Eidon ki hai eid aayi, Aaye hain Nabi Sarwar (salla Llahu ‘alayhi wa sallam), E...