Dilon kay gulshan mehek rahay heyn yay kef kyun aaj aa rahay heyn Kuchh esa mahsoos ho raha he huzur tashreef laa rahay heyn Nawazishon par nawazishayn heyn inaayaton par inayatayn heyn Nabi (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) ki naatayn suna suna kar ham apni qismat jaga rahay heyn Kahiin pay ronaq he mekashon ki kahiin pay mehfil he dil jalon ki Wo kitnay khush bakht heyn jo apnay Nabi (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) ki mehfil saja rahay heyn Na paas pi ho to soona saawan wo jiss say raazi wohi suhaagan Jinhon nay pakra nabi ka daaman unhi kay ghar jagmaga rahay heyn Khaan ka mansab kahaan ki dolat qasam khuda ki yay he haqiqat Jinhayn bulaya he mustafa nay wohi madinay ko ja rahay heyn Habeeb e daawar ghareeb parwar Rasool e akram karam kay pekar Kisi ko dar pay bula rahay heyn ...
Dildaar barhe aa’ey mahboob barhe dekhey Jo dekhey sabhii un keh qadmon main parhe dekhey Sardaare do ‘aalam (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) ki ta’ziim keh kiyaa kehne Mursal bhii sabhii jin ki raahon main karhe dekhey Yaad un keh Madiinah ki jab dil main utar aai Palkon keh kinaaron pih moti seh jurhe dekhey Mahboob ki midhat main hai taab sukhan kis ko Sab ahle sukhan main ne hairat main garhe dekhey Un jaisaa Zuhurii ab aaey gaa nah duniya main Dildaar barhe aa’ey mahboob barhe dekhey
Dar peh bulaao, Makki Madni (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) BigRi Banaao, Makki Madni Deed Teri hai, eid meri Deed karaao, Makki Madni Dar peh bulaao, Makki Madni Mehshar may ho lab peh meray ‘Mujh ko Bachaao, Makki Madni’ Dar peh bulaao, Makki Madni Apnay nawasoon kay sadqay Dukhray mitaao, Makki Madni Dar peh bulaao, Makki Madni Gumbad-e-Khazraa ke saae tallay Mujh ko sulaao, Makki Madni Dar peh bulaao, Makki Madni Mangta hoon mein sawaali hoon. Ishq-e-Nabi ka pujari hoon Thokarein khaata hoon dar dar ki. Dar peh bulaao, Makki Madni BigRi banaao, Makki Madni Har saans mein Madina hai. Muskhkil ab mera jeena hay Dil mein tamanna hai Taiba ki. Dar peh bulaao, Makki Madni BigRi banaao, Makki Madni Barsoon say akhiyaan tarsee Jalwaa dikhaao, Makki Madni Dar peh Bulaao, Ma...
Dil ko unke se Khuda juda na kare Bay kisi loot le Khuda na kare Iss me Raude ka sajdah ho ke Tawaaf Hosh me jo na ho woh kya na kare Ye wahi hai ke bakhsh dete hain Kaun in jurmaun par saza na kare Sab tabeebaun ne de diya hai jawaab Aah E’saa agar dawah na kare Dil kahaan le chala Haram se mujhe Aray tera bura Khuda na kare A’zr ummed a’fwu gar na sune Roosiyah aur kya bahana kare Dil me Raushan hai Sham’a Ishq e Huzoor (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) Kaash josh e hose hawa na kare Hashr me hum bhi sair dekhinge Munkar aaj Unse ilteja na kare Za’eef mana magar yeh zalim dil Unke raste me to thaka na kare Jab Teri khoo hai sab ka jee rakhna Wahi achcha jo dil bura na kare Lay Raza sab chale Madine ko Mai na jaoon aray Khuda na kare
Rangiiniiay gulaab na gulzaar chaahiiay Taiba kay dasht ka mujhay ik haar chaahiiay Dunya na mujh ko maal ka anbaar chaahiiay Chashm e karam huzur ki ik baar chaahiiay Kaaba ki azmatein mujhay tasleem heyn magar Mayrii jabeen ko kucha e sarkaar (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) chaahiiay Yay aarzu e dil he ada yuun namaaz ho Sajdon kay waastay tayra darbaar chaahiiay Yusuf sa maalka bhi kehta zuroor aaj Biknay kay waastay tayra bazaar chaahiiay He khuld ki talab na kisi huur say gharaz Mujh ko huzur (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) aap ka deedaar chaahiiay Un kay gunahgaar ko to chaahiiay karam Un kay karam ko to bhi gunahgaar chaahiiay Daykhay to sirf aap ko daykhay na gheyr ko Mujh ko esi nazar shah e abraar (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) chaahiiay
Badi shay hai nisbat-e-Mustafa (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) Hai waseela apni najaat ka Shah-e-ambiya ki jo Aal hai, Barha uska jaah-o-jalaal hai, Nahin uski koi misaal hai, Wo habib-e-haq ka jamaal hai, Nahin kaal is mein ye haal hai, Mila usko kaisa kamaal hai, Ye Khuda-e-pak ki hai ataa, Badi shay hai nisbat-e-Mustafa Wo jo Ahle Bayt ke hain Imam, Barhe muttaqi barhe nek naam, Wo hain badshah to hain hum ghulam, Bane unke madhha tara tamaam, Barha uncha har ek ka hai maqaam, Hue pehle hazrat Ali Imam, Jinhe sab ne Asadullah kaha, Badi shay hai nisbat-e-Mustafa Hain Hassan Imam Hussain bhi, Hain Ali Raza wo Naqi Taqi, Hain Imam Baqir-o-Kazmi, Kahin Abdi kahin Ja’fari, Koi Mahdi koi hai Askari, Hai har ek Rasool ki raushni, Mili unse duniya ko hai zia, Badi shay hai nisbat-e...
Bazm e tasawwuraat saji thi abhi abhi Nazron mayn Mustafa ki gali thi abhi abhi Seenay mayn ruk gya tha mayra dam iss liay Taibah say dil ddoar hili thi abhi abhi Itna karam huaa kay muqaddar badal ga-ay Un kay karam ki baat chali thi abhi abhi Maaloom kar rahay thay farishton say jibraiil Kiss ki zubaan pay naat e nabi thi abhi abhi Shabbir chashm e tar ki haqiiqat na poochhiay Maah e arab say aankh mili thi abhi abhi
BASA HUVA HAY NABI KA DIAR AANKHON MAIN SAJAYE BAITHHA HOON EK JALVA ZAAR AANKHON MAIN DIAR-E-PAK KA HER MANZAR-E-HASEEN-O-JAMEEL RUHAY GA KA’BA QAZA YAD GAR AANKHON MAIN BASA HUVA HAY NABI KA DIAR AANKHON MAIN ATA KIA JO MADINAY KE BASION NAY MUJHE MEHAK RUHA HAY AB TAK VOH PIAR AANKHON MAIN. AB ISS SAY BARH KE KOI SURMA AUR KIA HO GA? SAMAIT LAYA HOON MAIN KUCH GHUBAR AANKHON MAIN. BASA HUVA HAY NABEE KA DIAR AANKHON MAIN BAGHAIR DEKHE MADEENA INHAIN NAZAR AAYA HAIN MUNFARID MERI AANKHAIN HAZAR AANKHON MAIN. BASA HUVA HAY NABI KA DIAR AANKHON MAIN TARAP HAY DIL MAIN MADEENAY KE JALVA ZARON KEE! AUR INTIZAR-E-SAFAR BAYQARAR AANKHON MAIN. BASA HUVA HAY NABEE KA DIAR AANKHON MAIN SUNAOUN GA VOH KAHANI HUZOOR KO JA KER CHCHUPAYE BAITHA HOON JO ASHKBAR AANKHON MAIN HAY E’ETMAD BHE...
Baqi sabey galan chutiyan ney sariyan Heyn sachiyan Huzoor (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) diya yariyan Nuri mukda tey zulfan ney kaliyan Rab beyjda duroodan diyan daaliyan Piyaar meray Aqa (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) da seenay wich howey Aur jugi ik reyn laee madiney wich howey Bandah raj raj key chumey feyr jaliyan Aqa dey piyaar nal seenay chamka deyo Ya Rasulullah keh key tusi na’rah ik laa deyo Nas jaan giya aapey-ee bimariyan Beyliya Huzoor diya mehfilan sajaya kar Din raat Sohney tey Durood buchaya kar Ghar reyn giya sada khush haliyan Allah di so eythey uthay mala maal hon gey Har thaee Aqa dey o naal naal hon gey Jinnay Sohney diya mehfilan shingariyan
Badi Ummid Hai Sarkaar (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) Qadmo(N) Mei(N) Bulaaei(N) Ge Karam Ki Jab Nazar Hogi, Madiney Ham Bhi Jaaei(N) Ge Agar Jaana Madiney Mei(N) Hua, Gham Ke Maaro(N) Ka Makine Gumbade Khadra Ko Haale Dil Sunaaei(N) Ge Qasam Allah Ki Hoga Woh Manzar Deed Ke Qaabil Qiyaamat Mei(N) Rasoolallah Jab Tashrif Laaei(N) Ge Gunahgaaro(N) Mei(N) Khud Aake Shaamil Paarsa Ho(N) Ge Shafiye Hashr Jab Daamaane Rehmat Mei(N) Chupaaei(N) Ge Ghame Ishqe Nabi Se Hoga Jab Maamoor Dil Nayyar Tere Jhurmat Qade May(N) Bhi Sitaarei(N) Jagmagaaei(N) Ge
sab ke sab loh-o-qalam hain lab kusha tere liye chand ki qindeel sooraj ka diya tere liye kiya shab-e-meraj istiqbal khaliq ne kiya kona kona aasmanon ka saja tere liye chand do tukre kiya baik janbish angush se chand sheeshe se ziada kuch na tha tere liye hum to ajiz hain teri midhat se aae mamhoh-e-rab khud sarapa naat hia tera khuda tere liye rang,khushboo,chandni,barsaat badal sab tere khak per yeh farsh sabze ka bicha tere liye hamid-o-mahmood-o-ahmad majid-o-amjad hai tu ha karan taaba karan yeh silsila tere liye un ki had hai tur-e-sina tu hadoon se mawara manzil kosin tu hai ibtida tere liye
Shah-e-Madeena (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) suno ilteja Khuda ke liye Karam ho mujh pe Habeeb-e-Khuda Khuda ke liye Huzoor ghuncha-e-ummeed ab to khil jaaye Tumhaare dar ka gadaa hoon to bheek mil jaaye Bhar do jholi meri ya Muhammad (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) Lautkar main na jaaunga khaali Tumhaare aastaane se zamaana kya nahin paata Koi bhi dar se khaali maangne waala nahin jaata Bhar do jholi meri Sarkaar-e-Madeena (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) Bhar do jholi meri Taajdaar-e-Madeena (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) Tum zamaane ke mukhtaar ho ya nabi Bekason ke madadgaar ho ya nabi Sab ki sunte ho apne ho ya ghair ho Tum ghareebon ke gham-khwaar ho nabi Bhar do jholi meri Sarkaar-e-Madeena Bhar do jholi meri Taajdaar-e-Madeena Hum hain ranj-o-museebat ke ...